Tahreer Mustafa Ki
- Arif Jaunpuri (2022)
Tahreer mustafa ki jhutlae ja rahi hai
Baba ne khud likha hai beti bata rahi hai
Gham ki ghata ye kaisi baade Nabi hai chayi..
Binte Nabi se maangi gustakh ne gawaahi....
Kaisi wafa Nabi se ummat dikha rahi hai
Tahreer ke jo tukde karne laga sitamgar
Ye milkiyat hai meri boli Nabi ki dukhtar
Dukhtar Nabi ki dekho aasu baha rahi hai
Main hu Nabi ki beti ye kah rahi hai Zahra
Khaliq ne mere ghar pe quraan hai utara
Un gaseebo ko Zahra quraa suna Rahi hai
Darbar se jo wapas jane lagi wo dukhiya
Baalo pe hai safedi lagne lagi zhaefha
Athara saal me na chal bhi pa rahi hai...
Dar fatima ke upar jalta huwa giraya
Kunfus ne taziyana Zahra ko aisa mara
Wo zakm bhi ali se apna chupa Rahi hai
Hai pasliya shistha aao madad ko baba
In zalimo hay mohsin ko mar dhala
Imdad ko ay fizza Zahra bula rahi hai..
Arif byan kare kya Zahra ki wo musibat
Hai inteha sitam ki tithi hue hai turbat
Binte Nabi ki gurbat turbat bata rahi hai