Zahra(Sa) musalle Per
- Minhal Ali Rizvi (2022)
Zehra hain musalle par tasbeeh ki sadaen hain.
Hon khair se shehzadi Asmaa ki duaen hain
1. Mujhpar jo sitam toote wo kaise sahe jaate
Gar din pe jo padte to wo shab me badal jaate
Zehra ko is ummat ne din ayse dikhae hain
2. Beti ko teri baba ummat ne na pehchana
Jis dar pa malak aate usdar ko jala dala
Mohsin ki shahadat pe khoon mujh ko rulae hain
3. Jo zakhm hai pehlu ka baba abhi taaza hai
Baazu hain mere neele rukhsaar bhi neela hai
Haider se magar maine har zakhm chupae hain
4. Darwaza gira mijhpar pehlu bhi shikasta hai
Pehlu ki tarha meri turbat bhi shakista hai
Hai ajre risalat ye ummat se jo paaen hain
5. China Gaya haq Mera gum iska nahi mujhko
Darbaar me zalim ke jhutlaya Gaya mujhko
Siddiqa e aalam ne ye zakhm bhi khaen hain
6. Tehreer Teri baba wo phadta jaata tha
Hanste hue wo zalim tukdon ko udata tha
Tukde sanad ke maine ro ro ke uthae hain
7. Kuch log se zehra ko pochi wo aziyat hai
Khamosh raho bachon amma ki wasiyat hai
Aaen na janze me dil jisne dukhaen hain
8. Minhaal aur meesam bolo ye sare mimbar
Naraaz usse rab hai naraaz hain payambar
Aale rasool ke dil jis jis ne dukhaen hain