Ya Sakhi Abbas E Ghazi (As)
- Shozab Abbas (2023)
Ya Ghazi Ya Ghazi
Ya Saqhi Abbas (2)
Ya Saqhi Abbas E Ghazi Kijiye Poori Dua (2)
Aapko Maula Rida e Zainaibi Ka Waasta
Zindagi guzre hamari zaire saya ye alam
Hum pa ho babul hawaij aapka lutfo karam
Umr bhar qayim rahe ye aapki mehro ata
Aapke parcham ko jhuk kar jo bhi karta hai salam
Maula khush hota hai dil se sunke kay jo Abbas naam
Uski sab hajaat poori kijiye behre khuda
Dard mein jo mubtela hain unka ab darmaan ho
Aapke dar se ata unko bhi maula daan ho
Jo mareeze la dawa hain payen wo kulli shifa
Jo bhi hain majboor o be kas be saro samaan hain
Jo paresan haal hain tang dast jo insan hain
Kijiye imdad unki aap hain behre saqa
Ya shahe faqa kashi karne pa jo majboor hain
Rizq ho unko ata hon shaad jo ranjoor hain
Qarz maqroozon ka maula ghaib se kije ada
Sadqa bali ke baradar asghar e be sheer ka
Mayen aulade nareena ki jo kartin hain dua
Jholiya'n un sab ki bharde'n aap hain hajat rawa
Haider e karbobala shabbeer ke zore kamar
Har hussaini matami ko dijiye zaade safar
Sab kare'n dedaar Aa kar aapki jageer ka
Khoon mein shamil wafa rasme alamdari rahe
Majlis o matam hamari nasl mein jari rahe
Dil ba dil seena ba seena bus Ali ki ho wila
Yun meri bhi saans tootey aey Ali ke noore ain
Saamne roza ho sheh ka lab pa ho haye Hussain
Shozab o jawwad ki ho jaye madfan karbala