Dagh kya kya na kaleje pe uthaye Abid

- Asmee Kanodari (2021)


Dagh kya kya na kaleje pe uthaye aabid
Phir bhi sajde ko Musalle pe hai Aaye aabid

Kabhi pathhar se Kabhi kufe ke bazaro se
Shaam tak Thokare khate huwe aaye aabid

Inteha guzri hai Raaho'N me sitam ki dekho
Haaye imadad ko ab Kis ko bulaye aabid

Raat Taariki hai hathoN me bandhi hai rassi
Kaise turbat me sakina ko sulaye aabid

Sar e Mazloom se ye puchh rahi hai zainab
Kab talak Shimr se Durray sahay jaye aabid

Jism se haddiya'N hoti hai alag ay bhaiyya
Marne waali hu mai ab maa'N ko Bataye aabid

Barchhi akbar se chhudayi thi magar ay baba
Kaise Daman ko sakina se Chhudaye aabid

Shimr chadar ko jab has has se Dikha deta hai
Khoon aankho se kayi bar Bahaye aabid

Dastan jab bhi suni us ne kisi qaidi ki
Lab pe ASMEE ke sada aaya hai haaye aabid