Ghurbat Sakina Ki

- Sayyed Ali Muntazir (2022)


aye zahra (sa) aaiye aur dekhiye ghurbat sakeena (sa) ki,
hui hai kamsini mein aap si haalat sakeena (sa)ki

sahaara le ke chalti hai tere shabbeer (as) ki jaai,
tamaache itne khaayi ki rahi na uski beenayi,
masayeb ne badal daali hai ab soorat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa) 

kahan shâh ki dulaari aur kahan naaqon ki raftaari ,
bandhi rassi se hai tanha badan se khoon hai jaari,
khudaai ro padi hai dekh kar qismat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa)

nazar ke saamne shâh ke gale par jab chala khanjar ,
tadap kar us ghadi hi mar gayi shabbeer (as) ki dukhtar ,
phiraayi dar badar zaalim ne bus mayyat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa)

abhi hai chaar saala par kamar bhi ho gayi hai qham,
chatakti hain badan ki haddiyan bachchi hui be dum ,
musalman ke sabab ye ho gayi halat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa)

use aansu bahane ki na ummat ne ijazat di,
jo royi to sitamgar ne tamachon se azeeyat di,
kiya paamal kuch is tarah se hurmat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa) 

jo socha karti thi pani pilaun apne asghar (as) ko,
parindon ki tarah se jaun vapas apne main ghar ko ,
naa poori ho saki hai koi bhi hasrat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa)

kafan hi ban gaya hai khoon bhara kurta azeez uska ,
jo dafnaya bahen ko bhai ne to ho gaya boodha ,
yazeedi zulm ki tasdeeq hai turbat sakeena (sa) ki
aye zahra (sa)