Aye Behan Ab Me Suye Maqtal Chala

- Sayyed Nishani Rizvi (2022)


Waqte rukhsat sheh ne zainab se kaha
Aye bahen ab mai suye maqtal chala...
Aaj se tum ho gayi be aasra
Aye bahen ab mai suye maqtal chala....

(1) Meri furkat me bahut hogi nidhaal
Aye bahen rakhna sakina ka khayal ... Khayegi rukh par tamancha shimr ka
Aye bahen ab mai...............

(2) Kufiyon ka haye ye zainab wasool
Dekhte honge mere nana rasool
Kaise mehman par hui joro jafa
Aye bahen ab mai..........

(3) So gaye maidan me mere noore ayn
Ho gaya lachaar kitna ye hussain
Moniso yawar na koi reh gaya
Aye bahen ab mai...........

(4) Jaanti ho q ye kohna pairahan
Chaak karke maine pahena hai bahen
Reh na jaye bekafan lasha mera
Aye bahen ab mai............

(5) Bazowon me bandhi jayegi rasan
Baad mere berida hogi bahen
Hai meri nazron me manzar shaam ka
Aye bahen ab mai.............

(6) Laye akbar ki kabhi asghar ki laash
Tukde tukde qasime muztar ki laash
Gham pe gham iss dasht me sehta raha
Aye bahen ab mai.............

(7) Wada tifli ka nibhana hai mujhe
Jad ki ummat bakhshwana hai mujhe
Kund e khanjar se katega sar mera
Aye bahen ab mai........

(8) Itni quwat hai bhala mujhme kahan
Jo likhe meyaar saari daastaan
Itna hi kaafi hai gham ka waqeya
Aye bahen ab mai...........

Waqte rukhsta sheh ne zainab se kaha
Aye bahen ab mai suye maqtal chala
. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . .