Zainab Rok Lo Abbas Ko
- Ameer Hassan Amir (2010)
Khaime dariya se hatane ke jo kuffar chale
is taraf ghaiz me Abbas Alamdaar chale
haal ye dekh ke..
Shabbir ne Zainab se kaha..
koi takbir karo rann me talwar chale
Zainab rok lo Abas ko
bole ye sheh e abrar
kahi chal na pade talwar
Zainab rok lo Abbas ko x 3
Aey saani e Zehra dekh to lo
Ab saani e Haider Ghaiz me hai
Khaimon ke hataye jaane se
Abbas e Dilawar ghaiz me hai
Mehshar ke hai sab aasaar
Kahi chal na pade talwaar
zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Vaada jo kiya tha nana se
Hum usko nibhane aaye hai
Khaimon ki hume kuch fikr nahi
Hum deen bachane aaye hai
Mehnat na ho ye bekaar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Shabbar ke janaze par Zainab
Jab teeron ki bauchhaar hui
Abbas ke tewar badle the
Lekin na wahan yalgaar hui
Hai jung yaha tayyar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Is waqt humare maqsad ko
Saache me wafa ke dhaalna hai
Ye kaam tumhara hai zainab
Abbas ka ghussa taalna
Nikla hai alam bardar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Jab jab bhi use ghaiz aya hai
Har mod pe maine toka
Talwaar uthane se ab tak
Abbas ko maine roka hai
Ab rokna hai dushwaar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Ye 4 Moharram hai Zainab
Ashur me thodi duri hai
Abbas ko hum kaise roke
Ye sabse basi majburi hai
Imdad karo ek baar
Kahi chal na pade tayar
zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Talwar se rann me ghazi ne
Khat khech diya hai aye zainab
Haider ke shujaat ka waris
Ghusse me bhara hai aye zainab
Manzil hai badi dushwaar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Taakhir na ho ab jal karo
Lagta hainkayamat aati ha
Ab dil ki hamare bechaini
Ye soch ke badhti jaati hai
Badhne na lage takraar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo Abbas ko x 3
Aey Amir o fakhri ankhon se
Shabbir ke ansu behte the
Bha ko jo ansu behte the
Woh pyari behen se kehte the
Shabbir hai ab lachaar
Kahi chal na pade talwaar
Zainab.. Rok lo abbas ko x 3