Roodad E Sakina (S.A)
- Syed Mohsin Hassan Jaffery (2021)
1. char sala bachi ka ab waqia suno
Karbobala sai sham k zindaan talak chalo
Shabbir ki yateema k hallat mai dhalo
Gham yu kro k cheray par tum khak ko malo
barhnay lga tha shimr jo sarwar k samney
Bint e hussain roti thi khanjar k samney
2. Baba pai chlta dekh k khanjar sehm gayi
Tb sai hi shimr sai woh bohot khof mai rahi
Imdaad k liye woh suye nehr chal pari
Jb na milay chacha to najaf ki taraf barhi
Arey boli dada meray gohar khechta tha woh
Baba p charh k balon sai haye khelta tha wo
3. Dada jalaya kurta mera,wah museebata
Pani bhi samney tha baha,wah museebata
Chini gayi saron sai rida,wah museebata
Mujh ko tha tazeana lga,wah museebata
Jb sai chacha gaye hain nazar khm meri hui
Dadi ko mat batana qamar kham meri hui
4. Pani ka quza aya jo pyason k wastay
Zainab nai wou barha diya bachon k samney
Bacho mai phir sakina k cheray ko dekh k
Boli ae jaan choti ho tum hi har 1 sai
Yeh sun k uth k boli woh khemay k baab pr
Asghar ka haq hai mujh sai ziyada is aab pr
5. Guzri jo gum ki sham to bachay ginay gaye
Ek na mili to khemay kai nalay shuru huay
Fizza k sath bint e ali k qadam barhay
Haye sakina keh k woh maqtal ki jaa chlay
Manzar jo dekha gir gayi zainab bhi kanp kr
Teeron pai tha hussain sakina hussain pr
6. Phir ayi yeh sada k chalo sham jana hai
Sb ek jaga sakina ko ek jaa bethana hai
Ounto ko tez rah mai humko chlana hai
Naakay sai jaan bujh k isko ghirana hai
bachi k ghirnay sai jo shahey deen ka sir rkey ,
abid ko itna maro k phir qafla chlay
7. bint e ali nai naakay sai khud ko ghira diya
Jis trha mun k bal tha zameen pr jari ghira
Apnay ghamo ko bhool k zainab nai di sada
Batlao koi to meri bachi hai kis jagah
Dekha jo 1 koney mai 1 bibi ayi hai
Usnai sakina goud mai apni sulai hai
8. Zainab nai agay barh k kaha , shukria tera
Is ban mai bhi khyal rkha , shukria tera
Godi mai lai k pyar kia , shukria tera
Koi nahi yaha pai mera , shukria tera
Phir boli woh zaeefa tera asra hun mai
Zainab tu meray lg jaa galay fatima hu mai
9. Amma sai mil k bint e ali roti jati thi
Roodad sb ghamo ki woh ro kr sunati thi
Amma sakina ko kahi na neend ati thi
Khanay mai shimr k yh tamachay hi khati thi
Itnay mai dar k boli woh dukhia utho chalo
Ajaye na woh shimr sakina utho chlo
10. Naakay k pass aa k yeh zainab nai ki fuga
bithla rhay ho tum meri bachi ko q waha
Khud ko sambhal pana bhi mushkil lgay jaha
Yeh sun k khuli bhi bibi sai krnay lga bayan
Arey mat fikr kro khof na khao tum is qadr
Bachi ko bandh dunga mai rasi sai ounth pr
11. Na janay rah ka woh safr kis trha kata
Nakay sai woh ghiri bhi nhi khun bhi baha
Har mor pai sakina ko dukh naya mila
Darbar sham mai toh sitam or bhi brha
Arey itnay sharabio mai laeen nai kia hasad
Bachi ko woh kaneezi mai krnay lga talab
12. Zindan mai yaad krti thi ghazi ko naik nam
Apni hi soch mai bachi nai kiya phir kalam
Pathat uthaye phirtay rastay mai khas o aam
Kia kia btaun kitna kathan tha har 1 maqam
Rasi k sath yuh meri zehmat barhi chacha
Panjo k bal mai raho chlti rahi chacha
13. Jis dum sare hussain sakina ko tha mila
Baba ko dekh dekh k denay lagi sada
Meray gohr yu cheenay k kano sai khun baha
Baba tamacha shimr laeen ka mujhay lga
Tab sai sehm sehm k mai rehti hun baba jan
Ahat sai bhi mai shimr ki drti hun baba jan
14. Baba tumhay pata hai mai roti hun, raat bhr
Zindaan k is andheray sai drti hun, raat bhar
Krri hun yaad tumko na soti hun, raat bhar
Ayengy kb chacha yehi kehti hun, raat bhar
Mun sheh k mun pai rkh k bht royi haseena
Soyi toh phir kbhi nahi uth payi sakina
15. Dekha jo chaar sala zaeefa ki lash ko
Bint e ali pukari ae abid madad kro
Meray qareeb a k sahara zara sa do
Mujh ko ab rabab ki janib liye chlo
Arey batlaungi usko k kamayi ujr gayi
Teri sakina sham mai guth guth k mar gayi
16. Ghasala phir yateema ki khatir bulai hai
Chadar kafan k wastay woh sath layi hai
Gurbat yaha sakina pai kuch aesi chahyi hai
Ghasala cheekti hui parde sai ayi hai
Boli yeh kaam mujh sai zara ho nahi rha
Kurta badan sai iskay juda ho nahi rha
17. Abid nai phir kaha meray baqir qareeb aa
Dafnaun kesay behen ko itna mujhay bata
Zanjeer tum sambhalo yeh sajjad nai kaha
Dafna chukay to ayi raza khak sai sada
Lagta hai shimr ayega turbat pai bhi meri
Baba k sir ko bhi yaha dafna do ae akhi.