Pukara Dil Se Kisi Ne Jaha Jaha Abbas
- Ansar Jafar (2022)
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Madad ke waste pahunche wahan-wahan Abbas.
Hussain walon pe itne hain meharban Abbas,
Jahan Hussain kaha aa gaye wahan Abbas,
Sakka e Sakina, Ya Babul Hawaij, Sun li jiye faryad, sun li jiye faryad
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Alam ke saaye me kahte chalo Hussain Hussain
Khuda ke fazal se hain meer-e-kaarwan Abbas,
Sakka e Sakina, Ya Babul Hawaij, Sun li jiye faryad, sun li jiye faryad
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Koi Mita nahi sakta hai hame zamane mein
Husainyo pe hamasha hain pasbaan abbas
Sakka e Sakina, Ya Babul Hawaij, Sun li jiye faryad, sun li jiye faryad
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Yaha jo haat uthaye hain maatam-e-shah mein
Use Husain se milwayen wahan Abbas
Sakka e Sakina, Ya Babul Hawaij, Sun li jiye faryad, sun li jiye faryad
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Sakina bibi se bachche ye ro ke kahte the,
Alam nazar nahi aata gaye kahan Abbas,
Sakka e Sakina, Ya Babul Hawaij, Sun li jiye faryad, sun li jiye faryad
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas.
Hussain mil gaye mujhko yehi main samjhoon ga
Huwe jo mujh par tum ek baar meherbaan Abbas