Abid Ko Safar Main

- Ansar Jafar (2021)


Abid ko safar main sham talak itna tadpaya jaata hai,
Sar samne laa kar akbar ka has has ke dikhaya jaata hai.

Jis jaan pe kadam rakhte abid tar khoon se ho jaati hai zameen,
Raho me musafir ki ayse kaato ko bichaya jaata hai.

Uthti hai nigahe bibiyo par roo roo ke ghash kha jaate hai jab,
Bazaar me apne chehro ko baalo se chupaya jaata hai.

Sajjad tadap ke mar jae is waste saari bibiyo ko,
Jis jaa pe bhid zyada ho uss jaa per laaya jaata hai.

Khoo roo roo ke sar ghazi ka bazaar me dikhate hai abid
Tatheer ki chadar ko naize pe jab lehraya jaata hai

Hasrat se Sakina ko haye sajjad dilase dete hai
Pyaso ke samne paani jab ootho ko pilaya jaata hai

Sar zakhmi dekh kar bibiyo k yun khoon ke aanso rote hai
Abid ke jigar pe lagta joh pathar barsaya jaata hai

Kabhi tauq ko kheenche hai zalim kabhi pust pe maar te hai durre
Har ek kadam per abid ka yeh khoon bahaya jaata hai

Kyu na peete muh apne kyu roe na Ansar o Asad
Sajjad ke samne maa o ko behno ko sataya jaata hai