Shabbir Tera Matam

- Hasan Abbas (2022)


Hai chaand sitaroñ meiñ shabbeer tera maatam
Ta hashr yuñ hi hoga aalam meiñ sada maatam
Dekha hai kahiñ aisa ? Jazba e azadari
Qaatil ke shaher meiñ bhi zainab ne kiya maatam
Bas haath se hi karna kaafi to nahiñ pyare
Aamaal se bhikar le banda e khuda maatam
Mumkin hi nahiñ ye to ho koi kami es meiñ
Sajjad ke haathoñ se hai khalq huva maatam
Zaalim ka mukhalif huñ mazloom ka huñ haami
Sun ghaur se aye duniya! hai bol raha maatam
Barbaad kiya gulshan berehmi se zehra ka
Kyuñ kar na kare logo ! ham ahle aza maatam
Lo haar gaya zaalim or jeet gaya mazloom
Chauda sau baras se ye deta hai sada maatam
Gham unka hamara gham wo royeñ to ham royeñ
Hai aal e mohmmad se izhaar e wafa maatam
Ye ishq ki fitrat hai dastoor e mohbbat hai
Ma'shooq huva zibha aashiq ne kiya maatam
Jab qatl huve sarwar ye charkh lahoo roya
Jungle ne padha noha dariya ne kiya maatam
Zahra ke gharaane ki sunnat hai 'hasan Haamid'
Kya khoob teri qismat ke tujhko mila maatam