Phupi Amma Meri Tadeer Me Aram Nahi
- Minhal Ali Rizvi (2021)
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
kamsini he mai mere baba hue muje juda (2)
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
(Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi ) X2
kamsini he mai mere baba hue muje juda
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
sab mere chahane wale sare maqtal pauche
zulm ke hatho sab qatl hue chote bade
mera che mah ka asgar bhi toh baki na bacha
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
apne seene pe bhala kaun sulaega muje
kaun zalim ke tamacho se bachaega muje
ali akbar hai na qasim hai na baba na chacha
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
qash mere baba se mila de mujko koi
ya muje rasta maqtal ka bata de koi
kyu nhi sunta koi meri faryad o buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
apne qurte mai lagi aag bujau kaise
dhundne dasht mai baba ko jau kaise
har taraf maut ka saya hai qayamat hai bapa
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
nehr se mere chachajan ko bulado aye phuphi
unse khena ke mai abb pani na mangugi kabhi
warna mai khud he chali aaugi sue dariya
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
abhi toh aur sitam dhaegi yeh fauje shaki
zulm ki rasiyo mai meri bhi gardan hogi
shaam tak abb muje sehni hai yeh jor o jafa
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
qafela janibe zindan chala wa waila
seeskiya leke sakina ne kaha wa waila
shaam ki raho mai bhi nauha yehi lab pe raha
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
algaraz sham ke zindan mai pauchi bacchi
baba baba ki sada uske sada lab pe rahi
khe ke phir khakhe pe bhait gayi wo dhukiya
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
sugra se milne ki hasrat ne bhi dam tord diya
dil mai arma tha rhehayi ka jo pura na hua
dam e akhri bhi rha lab pe faqat yeh nauha
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
sogyi maut ki aagosh mai akhir bachi
aye suhail ab wo pukaregi na baba ko kabhi
abhi maujud fizzao mai hai uski yeh sada
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi
Bade Ashur sakina ke labo par thi buka
Phupi Amma Meri Taqdeer Mai aaram nhi