Allah Allah Qiyamat Bapa Hai
- Safdar Abbas (2014)
Zainab haye zainab x2
Jo thi konain ki shahzadi
Sar barehna sare shaam ayi
Kyu na fizza ye de ab duhai
Behen abbas ki berida
Allah allah qiyamat bapa hai x2
Behen abbas ki berida x2
Allah allah...
Ye sitam dil pe sabse bada hai x2
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
1) Mai to ayi thi tere sahare
So gaya tu to darya kinare
Shaam jayegi kis tarha zainab
Dil tadap ne laga gham ke mare x2
Bibiyon ke labo par buka hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
2) Aye alamdar e ghazi dua kar
Gham se mar jaye na teri khwahar
Aye khudae wafa tu bata de
Zabt kaise karun is sitam par x2
Shimr has kar yahi keh raha hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
3) Ban gaya mare sajjad qaidi
Toq pehne aur bediya bhi
Qafle ka yahi sareban hai
Is ki ghairat ye noha karegi x2
Ab to ehsas jeena saza hai
Behen abbas ki berida
Allah allah...
4) Bad tere ye pehla safar hai
Har qadam gham se challi jigar hai
Aaj mehmil hai aur na kajawa
Aur zainab pe sab ki nazar hai x2
Tu nahi sath ye gham chala hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
5) Log apne na apna watan hai
Baa isi gham ki dil me chubhan hai
Kaise parda karun tu bata de
Mujh ko jhakde huwe jo rasan hai x2
Dil yahi soch kar ro raha hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
6) Jab suni bekaso ki sadaye
Aasma ro pada aur hawaen
Roke sajjad bhi keh raha hai
Koi allah dede ridaen x2
Kaise ajre risalat mila hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
7) Bain fizza ke lab par yahi hai
Ya ali ye madad ki ghadi hai
Dekh darbar hai ashkiya ka
Aur beparda ale nabi hai x2
Waqt sajjad par ye kada hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
8) Shimr se jab ye hakim ne poocha
Tu bata tera inaam ho kya
Bola badzaat hakim se has kar
Hal tu dekh in kaidiyon ka x2
Mujhko inaam ye mil gaya hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...
9) Roke safdar se kehta hai mazhar
Likh nahi sakta koi suhanwar
Jo sitam mere bibi pe toote
Bad shere jari shaam ja kar x2
Bas ye misra hi khud marsiya hai
Behen abbas ki berida hai
Allah allah...