Ya Abal Fazl

- Mir Hasan Mir (2022)


Abbas Abbas Abbas
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar

Ya kashefal karbe an wajhil Hussain,
Iqshif karbi behaqqe akhikal Hussain

Saqqiye Aale Abba Abalfazl
Tishna Labe Karbala Abalfazl
Chishma E Aabe Baqa Abalfazl - 2
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Karb Shabbir Ke Chehre Se Mitane Wale
Ranj Se Aale Muhammad Ko Chudane Wale
Tham Le Hath Pareshan Azadaron Ka
Aye Sakina Ke Liye Bazu Katane Wale
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Toot Jaye Na Meri Aaas aye Ummeede Haram
Mere Zakhmo Ka Faqt Aap Ho Ghazi Marham
Arbaien Pe Hame Bulwale Ziyarat Ke Liye
Aap Ko Pehlu Shakista Kisi Bibi Ki qasam
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Hum Ko Dunya Ka Tarafdar Na Hone De Na
Sirf Bato Ka Azadar Na Hone De Na
Sadqa Shehzadi Ruqaiya Ke Bandhe Hatho Ka
Ham Ko Mushkil Main Giraftar Na Hone De Na
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Likhdo Taqdeer Main Phir Karbala Jana Ghazi
Apna Darbar Hame Jald Dikhana Ghazi
Wasta Deta Hu Zakhme Ali Akbar Ka Tumhe
Karbala Sare Javano Ko Bulana Ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Us ghadi nazro me ashoor ki rudaad aayi
aansu aankhon me bhare hoto'n pe faryaad aayi
saamne paani tha aur pi bhi nahi sakta tha
mujko roze me teri pyaas bohot yaad ayi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Tum ho shabbir ki beti ka sahara ghazi
Bin tumhare na huva uska guzara ghazi
Shimr ne jab bhi sakina to tamache maare
usne baba ko nahi tumko pukara ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Us ghadi khaymaye sadaat me kohram hua
Khoon bhara jis ghadi ranse tera parcham aaya
Pyaasi mar jaungi aur paani nahi maangungi
Todkar kuza ye maasoom sakina ne kaha
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Tune aacha hua bhai ki na gurbat dekhi
Taane deta tha koi shah pe hasta tha koi
Apne bhai ki madad ke liye ran me aakar
Laash zainab ne uthayi hai Ali Akbar ki
Shah ne rokar kaha - Abal Fazl
Uttho mere bawafa - Abal Fazl
Tanha hai bhai tera - 2

Abal fazl abal fazl abal fazl alamdaar

Aakhri lamho me shabbir bade pyaase the
Badi hasrat se sue neher nazar karte the
Shimr has has ke lagata raha tera (13) zarbe
Aur har waar pe shabbir sada dete the

Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Mir sajjad baya'n kaise kare wo manzar
Shaam ki fauj ne jab aag lagayi aaker
Chhinne aa gaye jab sar se rida Zainab ki
Us ghadi kehti rahi saniye zehra rokar

Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Ya kashife karbe an wajhil Hussain
Ikshif karbi be haqqe akhikal Hussain