Ghareeb e zahra ka badan

- Syed Raza Abbas Zaidi (2022)


Hussain.. Hussain.. Hussain

Kiya hai paamal isko ran mein
hai zakhm hi zakhm is badan mein
nahi hai koi uthane wala
bohot akela hai is watan mein
idhar ki sab pasliya'n udhar hai..(2)
udhar ki sab pasliya'n idhar hai

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Ye wo badan hai ke jiska seena
haan chumte the shah e madina
bhara hai teero se haye ghurbat
kaha pe soyegi ab sakina
yehi woh seena hai jispe chadh kar..(2)
laee'n ne kaata hussain ka sar

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Hui thi woh jinki naal bandi
the aam ghodo'n se aur wazni
jo ghode daude the is badan par
kuchalna unki khususiyat thi
na jaane kis tarha maa ne dekha..(2)
sumo ke niche ghareeb beta

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Laee'n wo bajdal(l.a), tha naam jiska
sirhane jab is badan ke pohcha
anguthi kis tarha loot ta woh
tha zakhmi hatho'n pe warm itna
na utri zalim se jab anguthi..(2)
to kaat kar le gaya wo ungli

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Akela lakho'n se zakhm kha kar
ye sogaya jab sitam utha kar
andhere ban mein isi badan se
behen ne patthar hataye aakar
na jaane zainab ne kaise dekha..(2)
ghareeb bhai ka zakhmi laasha

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Saro ko naizo pe jab chadhaya
sar ek chota sa mil na paaya
laee'n ne naiza zamee'n pe maara
toh laasha asghar ka saath aaya
pidar ke zakhmi badan pe rakh kar..(2)
chalaya nanhe gale pe khanjar

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Pidar ke seene pe sone wali
jab is badan ke qareeb pohchi
ye aake shimr e laee'n ne dekha
pidar se lipti hui hai beta
pakad ke baalo'n se jab chhudaya..(2)
badan zamee'n par tadap raha tha

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Hussain ki jab lahad pe jana
raza o zeeshan yaad rakhna
bichi hai turbat mein ek chatayi
ye dil ki aankho'n se dekh lena
wahi yeh zakhmi badan rakha hai..(2)
sagheer seene pe so raha hai