Jana hai karbala

- Ali Shanawar and Ali Jee (2022)


Hussain.. Hussain hussain hussain..(2)

Kehte hai jab bhi jisko bhi jana ho karbala..(2)
zawwar jisko banna ho maula hussain ka
lazim hai iske waaste 
abbas ki riza..(3)
Abbas....
Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Badshah e karbala, aye shahe nainawa
jald bulana hume jald bulana

1. Jab aayi chand raat muharram ki ya khuda
aye kaash karbala mein ho hum bhi kisi jagah
manzar wo hum bhi dekh le parcham kushayi ka
labbaik ya hussain, hamari bhi ho sadaa
paana hai ye sharaf pana hai
sheh ke zawwaro mein naam likhwana hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Jana hai..

2. Maula tumhare chahne walo ki hai sadaa
karna hai karbala mein hi ashure karbala
maula nazar ke saamne roza ho aapka
matam zari ke saamne ho aapka bapa
kehna hai bus yehi kehna hai
humko bhi maula ke saaye mein rehna hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Badshah e karbala, aye shahe nainawa
jald bulana hume jald bulana

3. Maula hume bhi apni ziyarat karaiye
aye fatima ke laal hume bhi bulaiye
zawwar karbala ka hume bhi banaiye
jageer bawafa ki hume bhi dikhaiye
aana hai roz woh aana hai
zikr e maula karne, humko bhi aana hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Jana hai..

4. Dekhe nazara hum bhi waha arbaeen ka
paidal safar najaf se kare suye karbala
baate sabeel aur tabarruk jagah jagah
jaari rahe aza e hussaini ka silsila
karna hai ye safar karna hai
sang azadaro ke hum ko bhi jaana hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Badshah e karbala, aye shahe nainawa
jald bulana hume jald bulana

5. Ye arzu hai karbobala jab bhi jaenge
hum khaimagah mashk o alam leke jaenge
abbas ka hussain ko nauha sunayenge
sadaat ke ujad ne ka matam karaenge
rona hai ha hume rona hai
karbala walo ka sog to hona hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Jana hai..

Katkar gire the baazu e abbas jis jagah
wa hasrata wa ghurbata...

6. Katkar gire the baazu e abbas jis jagah
akbar jawan ka jaha'n chalni jigar hua
asghar ne khaya has ke jaha'n teer e hurmala
dooba jaha'n pe khoon mein lashkar hussain ka
jaana hai har jagah jaana hai
jake har turbat par ashk barsana hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Badshah e karbala, aye shahe nainawa
jald bulana hume jald bulana

7. Maula hussain aapne kya kaam kar diya
apne lahu se khaak ko khake shifa kiya
maula yehi hai aapke zawwar ki dua
hum bhi padhe namaz sare arz e karbala
sunna hai han hume sunna hai
haram e maula ki wo azaa'n sunna hai

Jana hai karbala jana hai
ba khuda maula ke dar hume jana hai

Abbas bula lo, zawwar bana do
ek baar hume roza e shabbir dikha do
maula mere maula, mere maula, mere maula

Badshah e karbala, aye shahe nainawa
jald bulana hume jald bulana..(3)