Mout Ki Lori Use Ran Me

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2021)


Mout ki lori use ran me qaza deti hai
Aur maa khaimon me jeene ki dua deti hai

Che mahine ka gala aur seh pehlu paikaa’n
Jaane kis jurm ki ummat ye saza deti hai

Ye hawa hai jo samajhti hai tamanna maa ki
Khaali jhoola ali asghar ka jhula deti hai

Yaad maa ko jo sataati hai ali asghar ki
Aah ek bharti hai aur khaak udaa deti hai

Dekh kar jalta hua jhoola ye kehti thi rabab
Kaisi ummat hai nishani bhi jala deti hai

Maamta ko ye tasalli bhi hai bas zindaa’n talak
Maa jo pehlu me sakina ko sulaa deti hai

Ek toh neend hee aati nahi maa ko asghar
Is pe soye toh teri yaad jagaa deti hai

Sham ki aurten karti thi’n ye abid se sawaal
Dhoop me koun hai ye kisko sada deti hai

Raat hoti hai toh zindaan me maadar Akbar
Loriyo’n ki jagah ek nauha sunaa deti hai