Hussain (a.s) Jatey Hain

- Mohammed Khan (2021)


madina hota hai suna hussain jate hain
fiza me gunja ye nauha hussain jate hain

1. ye sun ke fatema sugra ko aisi thes lagi
tadap ke apni gareebi pa wo bohat roi
ke mujh ko chhod ke baba hussain jate hain

2. yu'n ro ke hum ko rulao na aye meri dukhtar
mila jo mauqa to lene ko aayenge akbar
ye usko de ke dilasa hussain jate hain

3. chale jo akhri rukhsat ko maa ki turbat pe
qadam badha nahi paye to ghutniyo chal ke
qareeb e marqade zehra hussain jate hain

4. nibhane sath shahe dee ka aai hain zainab
aur apne sath me baccho ko layi hain zainab
suna jo behna ne bhaiya hussain jate hain

5. khutoot likh ke bulaya gaya hai kufe se
chale hai sibte payember haram ko sath liye
bachane deen e khuda ka hussain jate hain

6. har ek ko sinr se apne lagaya ro ro kar
phir hath rakh ke rasool e khuda ki turbat par
pukari hazrat e salma hussain jate hain

7. kiya tha ahed jo bachpan me apne nana se
me apna ghar bhi luta dunga deen e haq ke liye
nibhane aaj wo wada hussain jate hain

8. jo dil me ranjo alam hai bhala kahe kaise
ye baat kum to nahi hai koi qayamat se
nabi ka chhod ke roza hussain jate hain

9. haram ki hurmato azmat na aaye khatre me
kiya ye soch ke tabdeel hajj ko umre me
bacha ke hurmat e kaba hussain jate hain

10. bayan kaise ho "arman" kaisa manzar tha
laraz raha tha khuda ke rasool ka rouza
ye shor jab hua bar pa hussain jate hain