Maqtal E Qasim a.s.

- Atif Ali Khan (2021)


Run Mai Qasim Ke Tan E Chaak Se Ati Thi Sada
Jism Ko Kar Dia Pamaal Layeeno Ne Chacha

Hoke Taqseem Main Tukdon Main Bikharta Hi Raha
Jism Ko Kar Dia Pamaal Layeeno Ne Chacha

War Par War Hue Zakhm Hi Bas Zakhm Mile
Kya Kahun Kitne Mere Tan Pe Chacha Teer Lage
Bani E Zulm Meri Jaa'n Ke Talabgar Mile
Surat E Aab Mere Jism Se Hain Khoon Bahey
Mai Tarapta Hi Raha Hoti Rahi Jor O Jafa
Jism Ko Kar Dia Pamal Layeeno Ne Chacha

Hoke Zakhmi Mai Jo Ghode Se Zamee Par Aaya
Koi Lakhon Mai Madad Gar Na Apna Paya Naiza O Teer O Tabar Ahle Jafa Ka Saya
Maine Maidan Mai Har Samt Chacha Jaa Paya
Koi Sunta Na Tha Maqtal Mai Meri Aaho Buka

Apne Dada Ki Tatha Mai Bhe Rajas Parhta Tha
Jung Maidan Mai Baba Ki Tarha Karta Tha Surat E Sher Mai Maqsad Ki Taraf Badhta tha
War Ammu Ki Tarha Fauj Pe Mai Karta Tha
Shiddat E Pyas Se Mai Aur Chacha Lad Na Saka

Alvida Kehta Hua Khasta E Tan Jata Hai
Umme Farwa Ka Pisar Tashnadahan Jata Hai Kar Ke Veeran Ye Ek Maa Ka Chaman Jata hai
Chorh Kar Kunbey Ko Ab Jaan E Hassan Jata Hai
Raas Aai Na Nabi Zadon Ko Ye Karbobala

Dil Pe Ye Gham Bhe Chacha Jaan Uthana hoga
Ek Rida Lasha E Qaism Pe Udhana Hoga
Mera Chehra Jo Meri Maa Ko Dikhana Hoga
Iss Tan E Chaak Ko Chadar Se Chupana Hoga
Khoo Bhari Dekh Ke Mayyat Ko Kare Gi Wo Buka

Sunke Marne Ki Khabar Maa Toh Tadap Jayegi
Dil Ko Kis Tarha Gham.o Dard Mai Behlayegi
Yaad Aayeg Gi Jo Bete Ki Toh Ghabrayegi
Seh Na Payegi Judai Meri Marjayegi
Haaye Iss Gham Mai Khuda Maa Ko Kare Sabr Aata

Sunke Qasim Ki Sada Rote Rahe Sheh Azhar
Aisa Purdard Tha Maidan Ka Atif Manzar
Hayee Afsos Hai Qasim Ka Hua Khatm Safar
Mar Gya Laal Jawan Jaan E Hassan Lakht E Jigar
Bain Karte The Ye Ro Ro Ke Bohot Shah E Huda