Karbala Karbala

- Atif Ali Khan (2021)


Karbala karbala Karbala Karbala

Kar Rahi Hain Buka Roz O Shab Sayeeda

Mera Pisar Hai Lakht E Jigar Hai tashnalab
Khaq Basar Hai Noor E Nazar Hai Tashnalab
Shahe Behro Bar Hai Magar Hai Tashnalab
Tujhko Khabar Hai Ghar Ka Ghar Hai Tashnalab
Khaima Pyaso Ka Sahil Se Kyun Kar Hata

Pyare Nabi Ko They Jo Pyare Qatl Hue
Fakhr E Nabi Ki Ankh Ke Taarey Qatl Hue
Ahle Haq Dariya Ke Kinare Qatl Hue
Teri Zameen Par Mere Dularey Qatl Hue
Ho Gya Qatl Gurbat Main Kunba Mera

Jispe Thi Naza Zainab E Muztar Wo Akbar
Tha Jo Duae Shah Ka Paikar Wo Akbar
Jis Mai Basi Thi Jaan E Sarwar Wo Akbar
Tha Jo Shabhi E Fakhr E Payambar Wo Akbar
Mar Gya Wo Teri Khak Par Karbala

Hasta Hai Kisko Maar Ke Wo Shimr E Maloon
Beh Gya Teri Khak E Zamee'n Par Kiska Khoon
Deen Khuda Ka Aj Bhe Hai Jiska Mamnoon
Uska Janaza Ran Mai Para Hai Be Madfoon
Ho Gya Hashr Se Pehle Mehshar Bapa

Chain Bhe Khoya Aur Masarrat Bhe Khoyi
Phr Bhe Aseeri Ka Na Kiya Shikwa Koi
Pucha Kisi Ne Jab Ye Behre Dil Joyi
Sab Se Zyda Aal E Nabi Kis Jaa Roye
Shaam Ke Qaidion Ne Ye Paiham Kaha

Choote Na Hathon Se Daman E Aale Aba
Waqt E Qaza Bhe Lab Par Ho Mola Mola
Farsh E Aza Par Nazim O Atif Ki Hai Dua
Ajreresalat Yunhi Kren Ye Dono Ada
Behr E Zayarat Bulalo Shahe Karbala