Mahe Anwar Ghadeer Ka
- Sayed Mehdi Naqvi (2022)
Dosh E Nabi (As) Pa Hai Mahe Anwar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
1). Parde Ke Peechhe Kal Jo Tha Zahir Huwa Hai Aaj
Meraaj Sa Haseen Hai Manzar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
2). Mimbar Pa Mustafa (Saww) Hain To Hain Dosh Par Ali (As)
Arshe Bareen Se Bala Hai Mimbar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
3). Man Kunto Ki Sadayen Hain Dhadkan Bani Hueen
Islam Ki Hayaat Hai Rehbar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
4). Zikre Ali (As) Se Jinki Bhi Batil Namaz Ho
Unpar Gire Ga Hashr Me Patther Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
5). Aulaad Ko Jo Deen Sikhana Ho Chahte
Qissa Sunao Unko Bithakar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
6). Zikr E Ali (As) Ko Chhod Ke Ghairon Ka Zikr Ho
Iske Liye Bana Nahi Mimbar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
7). Aashur Ki Qasam Hai Ke Ashur Ki Saher
Paigham Hur (As) Ko Dete Hain Akbar (As) Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
8). Qasim (As) Ke Sahre Ne Hai Banaya Ise Haseen
Rab Ka Jamal Ban Gaya Paikar Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
9). Akbar (As) Ka Dil Dhadak Ke Yehi Deta Hai Sada
Qurbaan Hussain (As) Par Hai Payambar (Saww) Ghadeer Ka
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka
10). Meesam (As) Ki Rehbari Me Hi Mehshar Ke Roz Bhi
Keh Layega
Tauheed Ka Jamal Hai Haider (As) Ghadeer Ka