Main Hu Ghulam e Haidari
- Mir Hasan Murtuza (2022)
Ya Ali Ya Ali
Ali ka naam lo har rah se guzarjao
Jo kaam hashr me aaye wo kaam karjao
Ali se ya to Mohabbat ki dal lo aadat
Ali se ishq nahin hai tumhe to marjao
Main hun Ghulam e Haidari Ya Ali, Ali, Ali
Main hun Ghulam e Haidari Ya Ali, Ali, Ali
1) Kasti e nuh ka baadbañ hai Ali
Aur meraj ka mezbañ hai Ali
Qaba Qousain ke darmiyañ hai Ali
Haq wahin per milega Jahañ hai Ali
Ismaton ke chaman me khilega Ali
Lamakañ ke makan me milega Ali
Kaise ho teri hamsari... Ya Ali, Ali, Ali
Main Hun Ghulame Haidari Ya Ali, Ali, Ali
2) Nukta e ba me simti kahani Ali
Pure quraan ki tarjumani Ali
Jiski jannat me hai hukumrani Ali
Aabe zam zam ki wajh e rawani Ali
Noor khaliq tera khud bhi noori hai tu
Apni bakshish ki khatir zaroori hai tu
Tu hai sifaat e Dawari... Ya Ali Ali Ali
Main hun Ghulam e Haidari Ya Ali, Ali, Ali
3) Kum be izni se murde jilata hai tu
Aur aadam ko bhi bakshwata hai tu
Kasti e nuh ko khench lata hai tu
Sar ko pesh e khuda hi jhukata hai tu
Ek hi shab hai jisko wo jaga nahin
Jiska ghoda bhi maidan se bhaga nahin
Tera laqab hai safdari... Ya Ali, Ali, Ali
Main hun Ghulam e Haidari Ya Ali, Ali, Ali
4) Lafata ne kaha shahe mardan Ali
shahe mardan Ali sher e yazdan Ali
Mera eman hai kulle eman Ali
Hone mujhko na dega pareshan Ali
Qabr me jab bhi waqt e hisaab aayega
Tab ye Sahil ke lab par jawab aayega
Main hun Ghulam e Haidari... Ya Ali, Ali, Ali
Main hun Ghulam e Haidari Ya Ali, Ali, Ali
Haq udhar mudta hai jis samt ali mudta hai.
Iski dahleez pe khud arsh e ula jhukta hai..
Kaun smjhega zamane me teri azmat ko.
Ye zamee'n kya hai falak par bhi tera qabza hai....