Zahoor Kijiye Moula
- Mir Meesam Abbas (2022)
zahoor kijiye moula ...hum intezar me hai
hai lena zehra ka badla ....hum intezaar mei hai
har azadar ne manghi hai ye dua har dam
hai karna fathima zehra ki qabr pe mattam
hai dena zehra ko pursa ...hum intezar mei hai
aey askari ke pisar hai hamare lab pe dua
tumare sath kare ham bhi safr e karbobala
hame dikha o nazara...hum intezar me hai
tumhare piche hame bhi namazein padna hai
tumare sath aza e hussain karna hai
yehi hai khaab hamara...hum intezar mei hai
har ek zulm ka toofan rukne wala hai
hamare waqt ka shabeer aane wala hai
yazeed e waqt marega ...hum
intezar me hai
khuda ke ghar me hai mattam hussain ka karna
waha ali ka qasida zarrur hai padna
hai intezar me kaaba...hum intezar me hai
dil ki hasrat hai ye moin ki aur meesam ki
hame naseeb ho safqat tumare parcham ki
hamesha dil ne pukara ...hum intezar me hai