Maqtal e Mohsin a.s.

- Atif Ali Khan (2020)


Roz E Mehshar Kisi Mazloom Ki Aati Hai Sada
Mein Bhi Mazloom Huñ Mazloom Meri Maa Bhi Hai
Yun Sitam Dhaye Musalmaano Ne Humpay Abtak
Mein Bhi Zakhmi Huñ Aur Amma Bhi Meri Zakhmi Hai

Roke Mohsin Ne Yeh Fariyaad Payambar Se Kiya
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

Dar Gira Pehlu Shikasta Meri Amma Ka Huwa
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

1) Jis Ghadi Pehlu Pe Amma Ke Tha Darwaza Gira
Misl Asghar Ke Mere Seene Mein Dum Atka Tha
Jis Tarha Teer Gale Mein Ali Asghar Ke Laga
Taziyano Se Laeeno Ne Mujhe Zakhmi Kiya
Amma Roti Rahi Phir Bhi Na Sitamgar Thehra
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

2) Aag Darwaze Pe Joh Laye Madine Wale
Jhuriya Padh Gayi Chehre Pe Meri Amma Ke
Rassiyan Bandhke Baba Ko Laeen Khenchte The
Haath Pehlu Pe Rakhe Mujhko Bachane Ke Liye
Pis Gayi Hai Dar O Deewar Ke Andar Zahra s.a.
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

3) Jisko Kehte Rahe Tum Umme Abiha Nana
Aapke Baad Usi Par Hai Yeh Mehshar Tuta
Kaan Se Jaise Sakina s.a. Ke Lahu Tapka Tha
Baaliyañ Kaano Se Amma Ke Gire Khoon Baha
Taab Na Layi Giri Khaak Pe Amma Dukhiya

4)Dil Yeh Kehta Hai Mera Kehte Yeh Honge Asghar a.s.
Cheh Mahine Mile Aagosh Mujhe Maa Ki Magar
Aapko Chain Mayasar Na Huwa Apne Ghar
Aur Hasil Huwi Kab Chain Se Aaghosh E Pidar
Aapke Saath Chacha Mein Bhi Karunga Nauha
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

5) Phirse Mehshar Mein Huwa Aur Bhi Mehshar Barpa
Baal Bikhray Huwe Jis Ghadi Zahra s.a. Ne Kaha
Zeher Shabbar a.s. Ko Diya Sheh Ka Kata Sukha Gala
Jurm Kya Mene Kiya Tu Hi Bata Mere Khuda
Dil Tadap Jata Hai Jab Kehta Hai Mohsin a.s. Mera
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya

6) Sare Mehshar Yeh Fizao Mein Sada Gunji “Haya”
Juhi Khaaliq Ki Adalat Mein Yeh Mohsin Ne Kaha
Bhai Hasnain a.s. Ka Deedar Bhi Mein Kar Na Saka
Aur Kafan Bhi Meri Mayyat Ko Mayassar Na Huwa
Turbat E Fatema Zahra s.a. Hi Hai Madfan Mera
Mere Nana Teri Ummat Ne Mujhe Maar Diya