Muslim Ke Dulare
- Ali Mohammad Sultanpuri (2017)
Muslim Ke Dulare-6
Jab Ghir Gaye Kufe Me Muslim Ke Dulare
Pardes Me Tanha The Takdeer Ke Maare-4
1) Dono Bacchon Ka Wahan Koi Madadgaar Na Tha
Sirf Tanhai Thi Yawar Na The Ghumkhuwar Na Tha
Wo Bathakte Rahe Dar-Dar Koi Dildaar Na Tha
Koi Dono Ki Madad Karne Ko Tayar Na Tha
Thak Kar Ke Jo Girta Tha Kabhi Chhota Baradar
Chalta Tha Bada Bhai Use God Me Lekar
2) Chhote Bhai Ne Bade Bhai Se Rokar Puchha
Bhhaiyya Itna To Bata Do Ki Kahan Hai Baba
Hum Musafir Hain Yahan Koi Nahi Hai Apna
Hum Ko Pardes Me Ab Kon Sahara Dega
Har Samt Andhera Hai Kahan Jaaye Gen Bhai
Lagta Hai Hamen Baba Na Mil Paayenge Bhai
3) Raat Kaali Thi Andhere Me Wo Dono Bacche
Sahme-Sahme Hue Ek Ped Pe Chhupkar Baithe
Raat Bhar Lipte The Aapas Me Wo Ghum Ke Maare
Siskiyan Lete The Aur Rote The Chupke-Chupke
Aahat Jo Koi Hoti Thi Ghabrate The Dono
Patte Bhi Khadakte The To Dar Jaate The Dono
4) Ek Kaniz Aayi Subha Us Ko Tha Paani Bharna
Usne Maasumo Ka Paani Me Jo Dekha Chehra
Dono Bachhon Se Ye Ghabrake Usi Dam Poochha
Kaun Ho Aaye Kahan Se Ho Bata Do Itna
Dono Ne Kaha Zakhm Bohot Khaaye Hain Bibi
Ham Log Madine Se Yahan Aaye Hain Bibi