Barbaad Hui Aal e Nabi

- Sayed Mehdi Naqvi (2022)


Haye Zahar x6

BARBAAD HUI AAL E NABI (SAWW) AHLE MADINA
TUM CHAIN SE SONA

BABA KE LIYE RAAT ME ROYGI NA ZAHRA (AS)

TUM CHAIN SE SONA

JEETE JEE UNHE CHAIN SE REHNE NA DIYA HAI
TUM LOGON KI AB AHLE MADINA YE SAZA HAI
KHATOON E QAYAMAT (AS) KE JANAZE ME NA AANA

TUM CHAIN SE SONA

AULAD E ALI (AS) GHAM YE AKELE HI SAHEGI
ZAHRA (AS) KI JUDAI ME WO MAGHMOOM RAHEGI
HAR RAAT UNHE AB TO HAI RO KAR HI BITANA

TUM SONA CHAIN SE

DHAL JAYEGA DIN AYEGA JAB SHAB KA ANDHERA
TANHAI ME BAD JAYEGA GHAM AUR ALI (AS) KA
ZAHRA (AS) KE LIYE ROYEGE TANHAI ME MAULA (AS)

TUM CHAIN SE SONA

AMMA KA UNHEN HOGA NA AB PEHLU MAYASSAR
SO PAYENGE RAATON ME NA EK PAL KO BHI SARWAR (AS)
MAAÑ BAN KE UNHE FIZZA (AS) HI DE DEGI DILASA

TUM CHAIN SE SONA

ZAINAB (AS) JO BICHAYEÑGI TAHAJJUD KA MUSALLA
TASBEEH JO DEKHEGI TO YAAD AYENGI ZAHRA (AS)
DE DENGE UNHE AA KE MALAK ARSH SE PURSA

TUM CHAIN SE SONA

TURBAT ME BHI AB CHAIN KAHAÑ PAYEGE MURSAL (SAWW)
ZAHRA (AS) KE LIYE ROYEGE DIN RAAT MUSALSAL
LEKIN TUMHE IS BAAT SE KYA FARQ PADEGA

TUM CHAIN SE SONA

HAIDER (AS)KE MOHIBBOÑ PA QAYAMAT KI GHADI HAI
KHATOON E QAYAMAT KI SHAHADAT JO HUI HAI
SALMAAN O ABUZAR (AS) KO HAI IS GHAM ME TADAPNA

TUM CHAIN SE SONA

YE RAAT MUSIBAT KI HAI HAM AHLE AZA PAR
HAM FATEMA ZAHRA (AS) KE LIYE ROYEGE SHAB BHAR
KYA WASTA IS GHAM SE MUSALMAANOÑ TUMHARA

TUM CHAIN SE SONA

KIS DIL SE WILAYAT HO BAYAÑ. DARD KA MANZAR
BOLE YE ALI (AS) ZAHRA (AS)KO TURBAT ME SULAKAR
WADA HAI MERA DHYAAN MAIÑ BACHCHOÑ KA RAKHUGA

TUM CHAIN SE SONA

KALAM
WILAYAT KARBALAI SAHAB