Khandaq Ka Waqiya ( Jang E Khandaq)
- Mir Hasan Mir (2022)
Khandaq ka Waqiya Lyrics
Haider Ki Zulfiqar Ke Johar Dikhaon Ga. Khundak Na Khaein Aap Main Khandaq Sunaon Ga.
1- Khandaq Mein Dekhney Ko Musalman They Bohat.
Zahir Mein Sab Rasool Pe Qurban They Bohat. Waisay Tu Woh Nabi Ke Nigehban They Bohat. Bas Ibn-e-Abad-e-Wod Se Pareshan They Bohat. Hanstay They Unn Ko Dekh Ke Kuffar Mauj Mein. Kuch They Ohad Ke Bhagney Walay Bhi Foaj Mein.
2- Lashkar Mein Aisay Mard Bhi Aaye They Be Misal.
Aata Tha Sirf Khaimay Ke Andar Unhein Jalal
Kartay They Yaad Dil Mein Woh Jang-e-Ohad Ka Haal..Bhagay They Aisay Sansein Abhi Tak Na Thin Bahaal.
Iss Bar Tu Ajeeb Hai Aafat Pari Hoi.
Pichey Hai Khayi Aagay Hai Khandaq Khudi Hoi.
3- Kehte They Dil Hi Dil Mein Woh Salman Ko Bura. Oss Ne Hamarey Sath Yeh Acha Nahi Kiya. Kyun Mashwara Rasool Ko Khandaq Ka De Diya. Ajmi Ne Inteqam Yeh Arbon Se Le Liya. Sarkar Ne Suni Nahi Aakhir Kissi Ki Baat. Phir Aaj Baton Baton Mein Rakh Li Ossi Ki Baat.
4- Guzrey Hain Chaar Saal Hi Iss Baat Ko Abhi. Laye They Pehli Bar Issay Bazm Mein Ali. Ab Jitna Yeh Qareeb Hai Utna Nahi Koi. Our Aaj Tu Hadees Bhi Irshad Ho Gayi. Waqif Azal Se Hai Yeh Hamarey Mizaj Se. Salman Ahlebait Mein Shamil Hai Aaj Se.
5- Kehte They Bees Roz Se Yeh Tees Mar Khan. Kuch Hain Poraney Dost Bhi Aaye Hoye Yahan. Aapas Mein Achi Baat Nahi Hain Laraiyaan. Kuch Tu Karein Khayal Hamara Sheh-e-Zamaan. Aisa Na Ho Keh Rishta Porana Yeh Toot Jaye. Aye Kash Sulha Kar Lein Nabi Jan Choot Jaye.
6- Ik Roz Amr Ne Yeh Dikhai Bohadari. Khandaq Ko Paar Kar Ke Idhar Aa Gaya Shaqi.
Khaimon Ke Pas Aa Ke Yeh Aawaz Oss Ne Di.
Itnay Ho Aik Mard Bhi Tum Mein Nahi Koi.
Baithay Hoye Hain Khaimon Mein Munh Ko Chupaye Hain.
Kya Aurton Ko Sath Nabi Le Ke Laye Hain.
7- Phir Aik Bar Bola Sitamgar Dahaar Kar.
Eman Hai Tumhara Suna Hai Jehad Par.
Maro Ya Marey Jao Gay Maidan Mein Agar.
Janat Mein Tum Ko Milna Hai Apne Khuda Se Ghar.
Lo Main Khara Hoon Apna Muqadar Sanwar Lo.
Mar Jao Mere Hath Se Ya Mujh Ko Mar Lo.
8- ALLAH Re Oss Ka Khof They Khamosh Sab Ke Sab. Danton Talay Zaban Thi Our Sil Gaye They Lab. Din Mein Andhera Cha Gaya Aankhon Mein Misal-e Shab.
Nagah Aagay Aaya Woh Gustakh Be Adab.
Munh Tak Rahi Thi Maut Bhi Oss Be Usool Ka. Naizay Se Chak Kar Diya Khaima Rasool Ka.
9- Gustakh Ne Yeh Be Adabana Kiya Jo Waar.
Kuch Our Dar Ke Hat Gaye Ashab-e-Janisar. Uth Uth Ke Dekhney Lagi Pehlu Se Zulfiqar. Aisa Howa Tha Door-e-Payamber Mein Pehli Bar. Tha Ibn-e-Abad-e-Wod Ka Sitara Zawwal Mein. Rehmat Ko Kainat Ne Dekha Jalal Mein.
10- Ashab Par Nabi Ki Sawali Nazar Uthi.
Iss Qalb Ki Zaban Karey Band Hai Koi. Lekin Wahan Tu Pehle Se Bhar Kar Thi Khamshi. Utha Na Teen Bar Mein Koi Bajuz Ali. Teyar Kaisay Hotey Shahadat Ke Wastay.
Kalma Parha Tha Mal-e-Ghaneemat Ke Wastay.
11- Aakhir Khuda Ki Marzi Bata Di Rasool Ne. ALLAH Ke Ali Ko Sada Di Rasool Ne. Apna Amama Apni Abba Di Rasool Ne. Pehlu Mein Zulfiqar Saja Di Rasool Ne.
Sher-e-Khuda Jehad Ko Teyar Ho Gaye.
Ik Waqt Mein Do Ahmad-e-Mukhtar Ho Gaye.
12- Ban Kar Riza Nabi Ki Ali Murtaza Chaley. Tha Hukam Abu Turab Se Pichey Qaza Chaley. Apna Shikar Karne Ko Shair-e-Khuda Chaley. Kehte Hoye Zaban Se Ya Fatima Chaley. Iss Naam Ke Tofail Jo Chahe Abu Turab. Khandaq Kya Kainat Ulat De Abu Turab.
13- Main Ibn-e-Abad-e-Wod Hoon Pukara Woh Be Khabar.
Bolay Imam Hum Abu Talib Ke Hain Pisar. Jari Rajaz Tha Dono Taraf Se Ba Karofar. Oss Simt Kul-e-Kufr Tha Eman-e-Kul Idhar. Oss Ne Kaha Keh Lato Hobul Ka Badan Hoon Main. Maula Pukarey Dekh Le Phir But Shikan Hoon Main.
14- Shair-e-Khuda Ki Baat Pe Gurraya Be Adab. Bolay Ali Zaban Chalata Hai Be Sabab. Hasrat Nikal Taig Utha Waar Kar Bas Ab. Nikli Jo Zulfiqar Tu Moqa Miley Ga Kab.
Main Do Karon Ga Tere Abhi Aik Waar Mein.
Dozakh Bharak Rahi Hai Tere Intezar Mein.
15- Khali Gaya Jo Waar Tu Ghisya Ke Reh Gaya. Tha Azdaha Zameen Pe Bal Kha Ke Reh Gaya. Bekar Waar Ho Gaye Jhonjla Ke Reh Gaya. Chakar Ali Ke Kaat Ke Chakra Ke Reh Gaya. Aakhir Nabi Ka Qaul Tha Sorat Badal Gayi. Sad Ki Tarha Zaban Dahan Se Nikal Gayi.
16- Uthi Jo Zulfiqar Tu Sab Ki Nazar Phiri. Jibreel Pichey Pichey Phiray Yeh Jidhar Phiri. Ashab Dhondtay Hi Phiray Keh Kidhar Phiri. They Iss Qadar Safai Se Sar Kaat Kar Phiri. Zalim Jahan Khara Tha Wahan Se Hila Nahi. Sar Kab Ka Kat Chuka Hai Badan Ko Pata Nahi.
17- Jab Kar Chukay Tamam Yeh Qissa Shahe Najaf. Lashkar Mein Gonja Narah-e-Takbeer
Safba Saf. Bolay Nabi Ali Ko Yeh Hasil Howa Sharf. Sab Ummat-e-Rasool Ke Amal Ik Taraf. Ta Hashar Farq-e-Kufr Pe Kari Yeh Zarb Hai. Saqlain Ki Namazon Pe Bhari Yeh Zarb Hai.
18- Sar Amar Ka Rasool Ke Qadmo Mein Jab Rakha. Manzar Nazar Mein MIR TAKALLUM Ki Phir Gaya. Darwaza-e-Batool Pe Gustakh Jo Howa. Mujh Ko Yaqeen Hai Paye Ga Woh Bhi Yehi Saza. Oss Ko Maza Imam-e-Zamana Chakhaein Gay. Sar Kaat Kar Batool Ke Qadmo Mein Laein Gay.