Haider E Karrar
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2019)
Haidar-E-Karar
Har momin ki aas hai bas tera darbaar
1. Aap hee mushkil kusha hain aye mere mola
Aap hee deen ki baqa hain ayr mere mola
Aap har dil ki sada hain aye mere mola
Mushkil ho do chaae aye shahe abrar
Har momin ki aas bas tera darbar
2.Aap ki aamad ne kaabe me banaya dar
Aap sa moulud ho koi bhala kyunkar
Tere haaton ne banayi arsh ki chadar
Kul ke madadgar dil ho laala zaar
Har momin ki aas bas tera darbar
3. Khaali kabse jholiyaan hai aan kar bhardo
Apne pyason ko zara sehrab yph kardo
Jeet ka apni jagah aankohon ko manzar do
Aye shahe abrar ibne Almadar
Har momin ki aas bas tera darbar
4. Dil tadapta hai bahut shauqe ziyarat me
Kuch ada kardo hame mayoos halat me
Bas sukoon aajaye aye aaqa tabiyat me
Aye mere sardar aye mere sarkar
Har momin ki aas bas tera darbar
5. Aap ki aamad se behla gulshane ismat
Bafhgayi kuch aur hee islam ki shaoukat
Teri shitkat se hai kaashana mera jannat
Deen ke talabgaar haq ke madadgaar
Har momin ki aas bas tera darbar
6. Dehr me gar aapka aana nahi hota
Aaj tak haq haashna koi na ban paata
Tere aane se hua islam do baaal
Khaliq ki lalkar sabr ki talwaar
Har momin ki aas bas tera darbar
7. Aye mubarak khaanae haq me ali aaye
Ab musibat se kaho Rehaan udh jaaye
Ho na ho shere khuda ko ghaiz aajaye
Haq ke talabgaar zulm ke bezaar
Har momin ki aas hai bas tera darbaar
Haidar-E-Karar
Har momin ki aas hai bas tera darbaar