Maqsad e sheh ki paasbaa'n Zainab(sa)

- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2019)


Maqsad e sheh ki paasbaa'n Zainab
Deen e Ahmad ki jaavedaa'n Zainab

Kat rahaa tha galaa jo bhai ka
Ley rahii thi yaa'n hichkiyaa'n Zainab

Aapke saath shaah par roney
Aagayi dekhlo yahaa'n Zainab

Shaam o koofa ke saqt raaho'n par
Hai lahoo ke Terey nishaa'n Zainab

Har azadar e shaah ke labb par
Haaye Zainab ki hai fugaa'n Zainab

Dafn pardess Mey kiyaa kaisey
Tujhko sajjaad e naatawaa'n Zainab

Ab bhi 25wey Safar ke din
Surq hotaa hai aasmaa'n Zainab

Ghum mey Terey shareek hai Zehra
Thaamkar tooti pasliyaa'n Zainab

Badla tera bhi aakey leygaa wo
Gaib mey hai jo baarwaa'n Zainab