Mil Nahi Sakta Dar E Hyder Se Behtar Doosra
- Gaazi Abbas Zainabi (2020)
Ho na paayega kabhi kaabey mey phir darr doosra
Aa nahi sakta jahaa' mey koi hyder doosra
Maalik e kaaba ki khaatir ye hai rabb ka ehtemaam
Maujzey se dekhlo hoga nayaa darr doosra
Koi chakki peesta hai koi darzi hai banaa
Is jagaah har kaam ka hota hai naukar doosra
Ya Ali imdaad kehkar my bulaaloonga unhey
Tu bulaa kisi aur ko naara lagaakar doosra
Haa Ali ke aal mey Yousuf ke maalik hai kayii
Par banaaya hii nahi khudrat Ney akbar doosra
Hyder e karrar ka saani to mil naa paayega
Laakey dikhlaado zaraa tum misl e qambar doosra
Kehrahey hai mustafa ye baat khud karkey salaam
Mil nahi sakta darr e hyder se behtar doosra
Marziya khairunnisa siddeeqa kehtey hai jisey
Uska hyder ke siwaa hoga na Hamsar doosra
Eak Ney pathar pey parcham gaad daala Jung mey
Parcham e Haqq gaad daala alqama par doosra
Chunliya hai Sheikh Ney auro'n ko rehbar kaum ka
Laa nahi paaya Magar wo khum ka mimbar doosra
Maalik e ashtar bhi hairat se yu taktey hai kisey
Kaun aisey lad rahaa hai Rann mey hyder doosra
Kardiya aagaaz sheh Ney Jung ye kehtey huwey
Ab na aayega koi hurr e dilaawar doosra
Sheh Ko lagtey they ye dono Murtaza' o Mustafa'
Eak Abbas e dilaawar aur akbar doosra
Raasta dedo Ali ke sher ko boley adoo
Ye bahaadeyga wagar na khu'n ka saagar doosra
Margaye saarey adoo meri hasii ke waar se
Boley asgar, hurmala.. tuu bhej Lashkar doosra
Manqabat likhta rahaa aal e nabi ki jab kabhi
Naam par merey banaa firdaus mey ghar doosra
Dekh kar aaya hai "Gaazi" jannat e karbobala
Ab samaata hii nahi aankho'n mey Manzar doosra