Fatima Hain Zeenat e Arshe Mualla Aaj Bhi

- Arsh Abbas Rizvi (2022)


Fatima Hain Zeenat e Arshe Mualla Aaj Bhi
Hai nigahe Kibriya me Unka Jalwa aaj bhi

1 Haq Ne Itna Martaba Bakhsha Hai tujhko Fatima
Ek Ibadat Hai Teri Tasbeeh padhna Aaj bhi

2 Guftugu me Tere Quraa'n ka taqaddus dekh kar
Yaad Ata Hai Muhammad ka woh lehja Aaj Bhi

3 Chadare Tatheer Hai Sar pe Tere Saya figan
Lab pe hai Quran Ke Tera Qasida Aaj Bhi

4 Tere Shaohar Ko Mila Quran e Natiq Ka Laqab
Hamile Quran Hai Tera Gharana Aaj Bhi

5 Teri Ismat ke gerani Ehteraman Fatima
Wazn e Paighambar Ko kar deti hai Halka Aaj Bhi

6 Tere aage Khud Naboat bhi Jhuka deti hai sar
Qabile Tazeem hai Tera Sarapa Aaj Bhi

7 Karbala me Tere lakhte dil ne Jo raoshan kiye
Un charagon se hai duniya me Ujala Aaj bhi

8 Dushmane Fatima Kab ke Jahan se mit gye
Ho raha hai zikr lekin Fatima ka aaj bhi

9 Tazkira kar ke Tera taskeene dil Q kar Naho
Hai tere ghum me har ek ghum ka madawa aaj bhi

10 Is Qadar Zulmo Sitam dhaye gaye baade Rasool
Roti hai mazloomiye zahra Pe Duniya aaj bhi

11 Khwab e Ghaflat Se musalma ko jaga de Fatima
Muntazir tameer ko hai tera Roza Aaj Bhi

12 Fatima kal bhi tha mehzar tera Mohtaj e Dua
Mujh ko hai teri Duaon Ka sahar aaj bhi