Abbas Chaley Aao

- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2021)


Zainab ki sadaa goonjii abbas chaley aao
Abbas chaley aao abbas chaley aao

1) aye zaamin e chaadar tum ruqsat huwey jab ghar se (2)
Tootii hai kamar shah ki abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

2) hasrat liye baithi hai paani ki sakina jaa'n
ab wo na rahey pyaasii abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

3) mushkil mey ghirey sibtey paigambar e do' aalam
kyu sotey ho tum bhaii abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

4) tanhaa hai madad karney shabbir ke aajao
halmin ki sadaa goonjii abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

5) jab laaye they Akbar ki laashey ko shahey waala
tab se gayi beenaayii abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

6) chey maah ke asgar ko jalti huwi reytii mey
dafnaaney lagey bhai abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

7) kaisey ho bayaa manzar Jo guzrey they zainab par
likh sakta nahi "GAAZI" abbas chaley aao
Abbas chaley aao....

8) Padhtey hai mera nauha ye Jaafar o Qasim Jab
Har aankh hai namm hoti abbas chakey aao
Abbas chaley aao....