Arbaab Raza Maula

- Mir Hasan Mir (2021)


Ya Raza, Ya Raza, Ya Raza, Maula Raza
Arbaab, Arbaab, Arbaab Raza Maula

Sultan E Arab, Shah E Khorasan
Arbaab Raza Maula

Nobat He Teri Shaahi Ka Elaan
Maula Raza
Arbaab, Arbaab, Arbaab Raza Maula
Arbaab Raza Maula

Tabdiliyaan Tu Lowh Pe Karta He Qalam Se
Waqif He Zamana Tere Andaaz E Karam Se
Allah Bhi Rakh-ta He Tera Maan

Rozay Ki Ziyarat Me Ajab Hajj Ka Mazaa He
Zamzam He Sabeel; Aur Mina Sehn-e-Shifa He
Roza He Tera Kaaba E Imaan

Pohncha Ta He Mujh Ko Ye Kisi Aur Fizaa Me
Mein Sehn Me Hote Huway Urh-ta Hun Hawa Me
He Farsh Tera Takht-e-Sulaymaan

Har Ek Pe Kaunayn Me Ehsaan Tere Hein
Quraan Ki Qasam Lulu Aur Marjaan Tere Hein
He Shaan Teri Sura E Rahmaan

Ho Aaye Najaf Phir Bhi Khasarey Me Rahe Ga
Shabbir Ke Rauzay Pe Ussey Kuch Na Mile Ga
He Jaan Ke Jo Aap Se Anjaan

Tu Jaag Raha He Toh Me Sota Hun Sukoon Se
Banda Tera Waqif He Tere Kun Fa-yakoon Se
He Tere Tasarruf Me Meri Jaan

Raziq Ke Taraf Se He Tuhi Rizq Ka Qaasim
He Nazm-e-do-aalam Ka Tuhi Aanthwaan Naazim
Palte He Tere Rizq Pe Shiyaan

He Arz Yahi Bargah-e-Shah-e-zamaan Me
Momin Na Rahe Koi Pareshaan Jahaan Me
Bas Aap Ka Dushman Ho Pareshaan

Aulaad Ka Taalib Koi Taalib He Shifaa Ka
Masooma E Qum Ka Unhein De-dijiye Sadqa
Un Sab Pe Bhi Kar Dijiye Ehsaan

De’bal Ko Sanaa Ke Liye Bulwaate The Jayse
Hay Arz Ke Mujh Ko Bhi Bulaale Kabhi Ayse
He Mir Hasan Mir Ka Armaan