Darmiyaan E Daro-e-Deewaar

- Mohammed Asghar Abedi (2022)


Darmiyan-e daro deewar pisi hain Zahra (sa)
Sah ke har zulm zamaane se gayi hain Zahra (sa)

1. Jiske oopar se guzarte hain malayeen tamam
Neeche us jalte hue dar ke dabi hain Zahra (sa)

2. Keel darwaaze ki pewast hui pasli mein
Baad baba ke masayeb ye sahi hain Zahra (sa)

3. Koi us karb ke manzar ko nahin likh sakta
Kaise darwaaze ke neeche se uthi hain Zahra (sa)

4. Apne Haider (as) ke wilayat ke tahaffuz ke liye
Haaye darbaar mein zalim ke khhadi hain Zahra (sa)

5. Haaye athaarah baras mein hui halat aisi
Haath mein apne asaa le ke chali hain Zahra (sa)

6. Rahnumaai kari taa umr nabi ne jiski
Baade Ahmad usi ummat se dari hain Zahra (sa)

7. Qatl Mohsin ko kiya haaye sitamgaaron ne
Itna bhi socha nahi binte nabi hain Zahra (sa)

8. Dekh kar haal teri qabr ka kahta hai Azeez
Aaj bhi zulmo museebat mein ghiri hain Zahra (sa)