maan aa gayi hussain

- Farhan (ALI WARIS) (2013)


haaye haaye
bar sare karbala
zakhmon se choor choor hai hussain
maan
dashte khuni me karti rahi ye bain
haaye haaye haaye
maan aa gayi hussain

jis roz watan chorh ke nikla tha meri jaan
nikli thi tere saath baqayya se teri maan
ehle jinaan bhi gham me huwe chaak girebaan
nana bhi tere khaak urhaate hain meri jaan
phatta hai kaleja haaye hussain
karte huwe noha haaye hussain
maan aa gayi hussain maan aa gayi hussain

bachpan me tere naaz uthaati thi teri maan
zaanu pe tujhe apne sulaati thi teri maan
khud bhuki reh ke tujh ko khilaati thi teri maan
aaghosh me jhula bhi jhulaati thi teri maan
ay naazon ke paale haaye hussain
ab ashk pilaane haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain

kya haal laeenon ne kiya dekh rahi hun
mein pehli moharram se jafa dekh rahi  hun
hain tishna dahan aale aba dekh rahi  hun
hoton pe tere shukre khuda dekh rahi  hun
tu dasht me tanha haaye hussain
dene ko dilaasa haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain

qaasim ke tukre maine samete hain tere saath
maqtal me saare laashe uthaaye hain tere saath
furqat ke zakhm maine bhi khaaye hain tere saath
gham tishnagi ke maine bhi paaye hain tere saath
jab zeen se gira tha haaye hussain
mein karti thi noha haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain

aaya nahin zameen pe beta tera badan
us par sitam hai pyaas se sukha huwa dahan
manzar ye gham ka dekh rahi hai teri bahan
karti hai bain ay mere mazlum be watan
ye zulm jo dekha haaye hussain
zainab ne bulaaya haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain

tere badan se teer nikaalegi teri maan
ab har qadam pe tujh ko sambhaalegi teri maan
in zaalimon se tujh ko chupaalegi teri maan
tere dukhon ka boj uthaalegi teri maan
tu kitna hai pyaasa haaye husssain
dene ko dilaasa haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain

farhaan jo mazhar ne masaaib raqam kiye
rukte nahin hain aankhon se ashkon ke qaafle
jo bain sayyada ne sare dasht kiye the
lafzon ki shakl me sare qirtaas aagaye
kehti thi sayyada haaye hussain
ay laal na ghabra haaye hussain
maan aa gayi hussain  maan aa gayi hussain