Zabt e girya
- Shahid Baltistani (2021)
Hayya alal azaa
Hayya alal buka
Hayya alal azaa
Hayya alal buka
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi..(2)
Sar jhuka kar baith jo..(2)
majlis mein ro sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
1. Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa..(2)
Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa
Abr ka tukda samandar ko bhigo sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
2. Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah..(2)
Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah
Aab e zam zam se wuzu bhi jisko dho sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
3. Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa..(2)
Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa
Kya ye aasu zulm ki duniya dubo sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
4. Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai..(2)
Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai
roz e ashura to wo bistar pe so sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
5. Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah..(2)
Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah
mar gaya beta jawa'n aur baap ro sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
6. Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees..(2)
Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees
Johari bhi is tarha moti piro sakta hai