Rula rula ke
- Shahid Baltistani (2021)
Haye mazloom sakina
Haye mazloom hussain
Haye baba mazloom baba
haye mera mazloom baba
Haye baba, Haye baba
Haye,
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba..(4)
Teri sakina ko yeh..(2)
dard kha gaya baba
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba..(2)
1. Tumhari beti ko aata nahi kuch aur nazar
mere nigaah mein phirta hai ab yehi manzar
tumhari zulfo mein zalim ka haath tha baba
2. Mai kis tarha se batau wo waqt kaisa tha
sitam ye baap pe, beti pe ek jaisa tha
teri tarha se tamacha mujhe laga baba
3. Jise pahen ke kaha tha yeh aapne mujhse
sakina ye meri maa ne siya tha mere liye
tere badan pe woh kurta nahi mila baba
4. Akeli mai nahi, dadi bhi saath hai mere
yeh zakhmi teri mohabbat mein haath hai mere
mai rokti rahi khanjar nahi ruka baba
5. Jagah nasheb mein dedo meri yateemi ko
chhupalo dher mein in pattharo ke beti ko
sakina bhool gayi ghar ka raasta baba
6. Meri ghareebi pe karta nahi koi nazar
tumhe to maara hai baba rula rula ke magar
mujhe to rone pe bhi haye,
mujhe to rone pe bhi milti hai sazaa baba
7. Hai qatl gaah sakina ki shaam tak ka safar
tumhe lagega chalaya hai shimr ne khanjar
gale pe dekho nishan e rasan zara baba
8. Kamar jhuki hui aankho mein kam basarat thi
jawa'n ke laashe pe jaisi tumhari halat thi
tumhare laashe pe wo mera haal tha baba
9. Wo qabr mein to takallum hai ek zamane se
magar sadaein ye aati hai qaid khane se
mera rasan mein gala hai bandha hua baba
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba
Haye baba mazloom baba
Haye baba mazloom baba
Haye baba, Haye baba