faatahe lashkar ali ali

- Farhan (ALI WARIS) (2013)


allah allah
hayya ala khairil amal
har gustaakhe rasul ko dunya se ham mitaayenge
har gustaakhe ehle bayt ko dunya se ham mitaayenge

jo ali ka nahin wo nabi ka nahin 
jo nabi ka nahin wo khuda ka nahin 
jo khuda ka nahin wo kisi ka nahin 

hai dil me hamaare ishqe ali
hai dil me hamaare ishqe nabi
har dushmane aale mohammad
eilaan hamaara sun le

ham ko maalum hai maqtal se guzarna kya hai
ruh zinda hai to phir jism ka marna kya hai
baad az marg hame ishq rakhega zinda
kar liya ishq to phir maut se darna kiya hai

seenon me shauqe shahaadat basaa ke
haathon me ghaazi ka parcham utha ke
paighaam dete huwe karbala ke
barhte rahein zulmaton ko mitaa ke
zindagi ko waqf karke hussain ke naam
bas ek naara ho wirde zabaan

barhhta rahe kaarwaan jiyo hussaini jawaan 
hai mire kaarwaan
faatahe lashkar ya ali ya ali maula ali 

hal min naasirin yan surana

ham noha khwaan aur iraade hamaare
talwaar hain
ek do nahin balke saare ke saare
mukhtaar hain
nauhe ke alfaaz denge gawaahi
ham hain imaame zamaan ke sipaahi
jurrat me meesum wilaayat ke raahi
thhokar me rakhte hain ham takhte shaahi
kaafi hai bas sayyada ki duaa hi
mil ke bolein saare momin peer o jawaan
daste karam ho imaame zamaan

laashe uthaaye uthaate rahenge
majlis me jaate hain jaate rahenge
tufaan to aate hain aate rahenge
ham apni himmat barhhaate rahenge
ghar lute ya jaan jaaye khuda ki qasam
dete rahenge yehi ham azaan

hayya ala khairil amal
maula imaam hussain (as) farmaate hain
agar zindagi ka ikhtetaam maut par hi hai
to us ka behtareen intekhaab shahaadat hai

wirsa hai hamaara shahaadat
shahaadat shahaadat
kehte hain jise ham saaadat
saaadat saaadat

karam hussain ka mujh par mazeed hojaaye
marun to lehed me maula ki deed hojaaye
ajeeb jazba hai
ajeeb jazba hai har maan duaayein karti hai
khuda kare mera bachha shaheed hojaaye

ay maan
khuch khauf nahin ab mujhe izzat me kami ka
shajra hai khuda rakhe hussaini hassani ka
likh dena kafan par mere bas tum ali waaris
khud qabr samajh jaayegi banda hun ali ka

shaheed zinda hai
shaheed zinda hai

shaheed qabr ki jaanib chala to aise chala
dil me haider ki wila mun pe male khaake shifa
saath maatam ke nishaan aur shahaadat naama
jab huwa qabr me daakhil to ye manzar dekha
misle gulshan ke tar o taaza nazar aati hai
qabr to khuld ka darwaaza nazar aati hai

shaheed zinda hai
shaheed zinda hai

di nida haatife ghaibi ne ke ab ho hoshyaar
murtaza qabr me aate hain basad izz o wiqaar
meri turbat me ajab tarha ki aayi hai bahaar
kya haseen maut hai is maut pe so zeest nisaar
mera mola meri turbat me chala aaya hai
asl me ab mujhe marne ka maza aaya hai

shaheed zindah hai
shaheed zindah hai

ay ehle jahaan socho to zara
hai fikr ki jaa rone ki fazaa
jab apna koyi marjaata hai
karbal ka kafan wo paata hai
ehbaab o aziz aur dost sabhi
rone ke liye aa jaate hain
kis shaan se apne pyaaron ki
mayyat ko sabhi dafnaate hain
afsos magar zehra ka pisar

ya hussain ya hussain
ya hussain ya hussain

afsos magar zehra ka pisar
chaalis dinon tak be sar tha
us laashe pe sadqe kaun o makaan
na kafan mila na dafn huwa

haaye

had huwa karti hai har zulm ke afsaane ki
zulm sehne ki sitam sehne ki gham khaane ki
kalma goyo yehi ek baat hai rulwaane ki
rasm hai saare musalmaanon me dafnaane ki
par mohammad ke nawaase ko kafan bhi na mila

rone ke liye kaafi hai ay mazhar o farhaan
paaya kafan shaheedon ne aur dafn ka saamaan
par mohammad ke nawaase ko kafan bhi na mila
hussain mola hussain mola