Ya Zahra (Midhat e Zahra)

- Mir Hasan Mir (2021)


Ya Zahra.. Ya Zahra.. Ya Zahra.. Ya Zahra..

Utri hai aaj Fatima Zahra zameen par..(2)
Kaise rahe dimaagh zamee'n ka zameen par

1. Jibreel kis se pooch ke layega aayatein..(2)
Zahra yahi hai tu bhi haan,
Zahra yahi hai tu bhi, theher jaa zameen par

2. Khud aake degi maut, suna ran ko zindagi..(2)
han Zahra bicha rahi hai..(2), musalla zameen par

3. Wo jaa rhai hai arsh pe zahra ki rotiya'n..(2)
wo aa raha hai deher ka..(2), surah zameen par

4. Zahra ne khud dua ko uthaye hai apne haath..(2)
Haan abbas tum ko aana..(2), padega zameen par

5. Haan jannat se karbala ka pata puchti hui..(2)
Adam ke saath aayi hai..(2), Hawwa zameen par

6. Bekar hai yeh isko jahannum mein bhej do..(2)
Arey ek bojh hai yeh dushmane..(2), Zahra zameen par

7. Hota hai asmaa'n pe tilawat mein wo shumaar..(2)
padhiye jo Sayyeda ka..(2), qasida zameen par

8. Taqseem karti Fatima Zahra agar fidak..(2)
baaqi na rehta koi..(2), bhi bhooka zameen par

9. Yeh bhi to Mustafa hai takallum isiliye..(2)
milta nhi Batool ka..(2), saaya zameen par

han utri hai....