Ghurbat Ki Inteha Hai

- Fatema Ladak (2009)


Ghurbat ki inteha hay, na saya na rida hay, Zehra teri lahad par

Chand patharon ne mil kar, mehrooma likh diya heh
Zehra teri lahad par

Teeron bhari qaba thi, zakhmi koyi rida thi
Jo Shaam se bacha tha, Zainab ne rakh diya hay 
Zehra teri lahad par

Zindan ki ghutan say, har lash e bekafan se
Abid ne jo sambhala, woh ansoo gir parra hay
Zehra teri lahad par

Kia ye daleel kam hay us ki qamar may dam heh
Kaye bar aasman ne, sajda ada kia hay
 Zehra teri lahad par

Do pahr dhal rahay hain, Khayyam jal rahay hain
Tasveer Karbala ki, koyi bana raha hay
Zehra teri lahad par

Tere gham ki chand satrain, kaam aayain gi lahad may
Bakhsish Tauqeer ki hay, ye noha jo likha hay
 Zehra teri lahad par

Sun kar hawa bhi royi, khud Karbala bhi royi
Khak e rah e Najaf ne, jo marsia parrha hay 
Zehra teri lahad par