Ab Sakina Ka Dam Nikalta Hai

- Shahzain Haider (2021)


Ab Tou Ajao Aey Mery Baba
Ab Sakina Ka Dam Nikalta hai

Band hone Ko Hai zaban meri
Zindagi ka Chiragh Bujhta hai

Dadi Zahra ki goud main sar hai
neel chehre k chumti hein woh
jab mai kehti hon ya ali rokr
mery sirhany dekhti hein woh
inki goudi mai dekhlo baba
mery kano ka khoon tapakta hai

nabz thamy huye mery bhaiyya
rourahy hein phupi tarapti hein
amma mujh ko sadayen de de kar
mera shana hila ke routi hein
mujhko lekin ab aysa lagta hai
paas asghar kahen humakta hai

karbala waly agaye baba
kandha deny mery janaza ko
ammu routy hein sar jhukaye huye
bhaiyya akbar bhi agaye dekho
arahi hai sada madiny ki
sab ke rouny ka shour uthta hai

baba mudat sy mai nahi soyi
lekin ab nend arahe hai mujhe
aap ka sar rakha hai mery paas
baba sina bhi chahiye hai mujhe
khul gai reesma galy ki magar
khoon ab bhi galy sy rista hai

baba in zalimo ne khoon mera
haye kis kis tarhan bahaya hai
patharon sy kiya gaya zakhmi
pushte naqa sy bhi giraya hai
taziyano k zakhm itny hein
khoo'N sy kurta mera chipakta hai

baba kano ki baliyan kya mai
dena deti jo mangta koi
kis tarhan baliyan chini meri
haye baba bata nahi sakti
kya yatemi isi ko kehte hein
zulm jab had sy yun guzarta hai

ab bhi zindaa'N ka hai SAMAR Noha
marte dam bhi nahi mila pani
haye piyasi he margai bachi
kehte kehte gai chacha pani
ab bhi lagta hai jesy zinda'N mai
koi qaidi yeh noha parhta hai