Ya Mazloom Imam
- Nadeem Sarwar (2026)
Hussain...
Ya Mazloom Imam..(3)
Ya Mazloom Imam..(2)
Sab ke aansu hai rawa'n
sab ke lab par hai fugha'n
aye dil e ya Fatima
Ya Mazloom Imam..(2)
As salam
Hussain jaan..(3)
Ya imam
Hussain jaan..(3)
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
1. Nauha hai, matam hai dil girya kuna hai
har lamha har lab par ek aaho fugha'n hai
darya hai, pani hai sab kuch to rawa'n hai
ek ghar tha Zahra ka ab ghar woh kaha'n hai?
dil e Zahra hai, bada tanha hai
bada pyaasa hai, bada pyaasa hai
Sab ke aansu hai rawa'n
sab ke lab par hai fugha'n
aye dil e ya Fatima
Ya Mazloom Imam..(2)
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
2. Na lashkar, na yawar na koi sahara
na bhai, na bete ghar lut gaya saara
naizo mein, tegho'n mein Zahra ka dulara
kis dil se, ghurbat mein pyaro'n ko pukara
kaha'n ho Akbar, kaha ho Asghar
sadaa do dilbar, sadaa do dilbar
Sab ke aansu hai rawa'n
sab ke lab par hai fugha'n
aye dil e ya Fatima
Ya Mazloom Imam..(2)
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
3. Mehshar ka manzar hai rota hai bayabaa'n
shole hai, khaime hai aur sham e gharibaa'n
na ghazi, na chadar, Zainab hai paresha'n
behno ka, bacho'n ka ab kaun nigehbaa'n
Hussain aa jao, na ab tadpao
rida bhi lao, rida bhi lao
Sab ke aansu hai rawa'n
sab ke lab par hai fugha'n
aye dil e ya Fatima
Ya Mazloom Imam..(2)
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain
As salam
Hussain jaan..(3)
Ya imam
Hussain jaan..(3)
Ya Mazloom Imam..(6)