Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)

- Irfan Haider (2020-21)


Hussain Hussain Ya Fatema Ya Hussain 
Hussainio Apni Taqhleek Ka Maqsad Samjho
Kaun Ho Tum Tum Ek Ghareeb Maa Ki Dua Ho, Tum Ek Bahan Ka Waada Ho, Tumhara Rehnuma Hussain Ibn Ali Aur Tumhari Manzil Hai Karbala
Karbala - 2

Hal Hub Illal Hussain - 4
Aaj Bhi Shaam Se Aati Hai Ye Zainab Ki Sada
Ay Azaadaro Ay Wafadaro Tum Salamat Raho Taa Qayamat Raho
Mai Chahti Hu Ke Tum Hamesha Ye Farshe Majlis Bichaye Rakhna - 2
Nibhaya Maine Tha Ek Waada Tumhe Bhi Wada Hai Ek Nibhaana
Bhulna Jaana Bhulna Jaana
Ye Dunya Faani Hai Laga Hi Rehta Hai Aana Jaana
Hussain Ka Gham Manane Walo - 2
Labon Pe Rakhna Yahi Sada

Ya Fatema Ya Hussain - 3

1. Ye Kaale Kapde Alam Sabile Ya Taaziye Aur Labon Pe Har Dam
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Nishaane Haider Se Kam Nahi Hai Tumhare Sine Pe Daaghe Matam
Bhulna Jaana
Tumhari Saari Ibadaton Ki - 2
Zarur Denge Tumhe Jazaa
Ya Fatema Ya Hussain - 3

2. Najaf Se Paidal Alam Uthakar Badhe Chalo Karbala Ki Janib
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Wafa Ka Qibla Bula Raha Hai Tumhe Bhi Shehre Wafa Ki Janib
Bhulna Jaana
Qadam Juhi Karbala Me Rakhna - 2
Ro Ro Ke Keh Dena Shukriya
Ya Fatema Ya Hussain - 3

3. Ye Soz Khwani Salam Nauhe Tumhara Virsa Hai Pursadari 
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Azal Se Karbobala Ke Tum Ho
Azal Se Karbobala Tumhari
Bhulna Jaana 
Baroze Mehshar Hi Dekh Lena - 2
Faza Me Gunjegi Ye Sada
Ya Fatema Ya Hussain 

4. Mere Labon Par Yahi Dua Hai Jahan Me Hojaye Tumse Raazi
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Tumhari Jitni Bhi Haajaten Hai
Wo Poori Kar Denga Meri Ghazi
Bhulna Jaana
Ye Kehke Apni Muraad Mango - 2
Sakina Bibi Ka Waasta
Ya Fatema Ya Hussain 

5. Yahi Adaa To Zamane Bharke Yazidio Ko Jala Rahi Hai
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Dilon Pe Churiyan Chala Rahi Hai
Sada Ye Sehwan Se Aarahi Hai
Bhulna Jaana 
Yahi To Wo Zikr Hai Ke Jisne - 2
Mujhe Qalandar Bana Diya
Ya Fatema Ya Hussain 

6. Subha Se Apne Fidaiyon Ke Jo Banme Laashe Utha Raha Tha
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Janabe Zehra Ke Saamne Jo Gale Ko Apne Kata Raha Tha
Bhulna Jaana 
Nabi Lipat Kar Ali Se Roye - 2
Ye Bain Kar Karke Barhaa
Ya Fatema Ya Hussain 

7. Salam Us Par Jo Qaid Me Bhi Hussain Ka Gham Mana Rahi Thi
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Aseer Hoke Jo Shamo Kufa Me Apna Wada Nibha Rahi Thi 
Bhulna Jaana 
Usi Bahan Ka Yeh Faisla Hai - 2
Rahenga Jaari Ye Silsila
Ya Fatema Ya Hussain 

8. Nigaahe Zehra Me Mohtaram Ho Kasam Khuda Ki Bahukme Haider 
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain 
Ye Naukri Raas Aagayi Hai Tumhe Bhi Irfan Aur Akhtar
Bhulna Jaana
Hamara Daste Karam Hai Tum Par - 2
Laga Do Ye Narae Azaa
Ya Fatema Ya Hussain