Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera naam

- Miscellaneous ()


Rone ke liye kaafi hai Sajjad Tera naam

sajjad haye sajjad
Asir-e-bekara
bimar-e-na tawan
wo budha sa jawan
wo ghairat ka jahan
chala hai shamko
luta ke aashiyan 
dikhane chal padha
raahe haq ka nishan
tha roya khun kyu
bimaar e sarbaan
bhare baazar me 
bhare darbaar me
rahi hai berida
nabi ki betiyan
sajjad haye sajjad haye sajjad

Tu shahensha e dard hai,batla rahi hai shaam

Rone ke liye kaafi hai Sajjad Tera naam

Chala bekaso ka kaarvan,
bimaar logo saarban,
hai sang sare oriya,
shahe lafata ki betiya,
karbobala ke dasht me,
barpa hai Kohraam

Zainab pukari bewatan,
bhai mera hai bekafan,
karde ise koi dafan,
mere haatho me baandhi rasan,
Hye kaise suna Hoga
bimaar ne paigham

Masturo me ek mard hai,
ghairat se chehra zard hai,
karbal ki zami gard hai,
zainab ke dil me dard hai,
rota hai sar jhukake
karta nahi Kalam.

Mushkil thi badi wo ghadi,
darbar me zainab khadi,
shabbir ke lab per chadi,
sajjad ne pehni kadi,
darbare yazidi ke
larze the daro baam

Kat jate sayyado ke sar,
zainab na jati darbadar,
bimar ka tukde jigar, 
rota hai lahoo har nagar,
har manzilo pe tadapna
sajjad tera kaam

Zindan siyah posh hai,
tanhai ki aaghosh hai,
aabid kahe na hosh hai,
dum tuta hai khamosh hai,
ummat ne sakina ko,
diya maut ka inam

Karbal ki soya khaaq per,
kaatil lahu poshaaq per,
dhalte hue aflaaq per,
imkaan hai nau laakh per,
hai jinno malayak bhi, 
sajjad ke khuddam