Mein hussain hun

- Nadeem Sarwar (2013)


Mein hussain hun
gunji bawaqte asr sada mein hussain
kaato na mera khushk gala
mein hussain hun

sukhi huwi hai shimr  mere halq ki ragein
aahista tu chhuri ko chala
mein hussain hun

amma  kisi ne paani ki ek boond bhi na di
mein baar baar kehta raha
mein hussain hun

kat ta huwa gala mera dekha na jaayega
nana mein hun nawaasa tera
mein hussain hun

be baazuwo ki laash tarap kar ulat gayi
aayi furaat par jo sada
mein hussain hun

zaanu pe rakh ke sar ko kaha ne ek zaeef ne
akbar  kahaan hai jald bataa
mein hussain hun

ay shaamiyo kafan na diya mujh ko gham nahi
de do meri bahan ko rida
mein hussain hun

mehsoos ab bhi hota hai ye zaayereen ko
roze se aa rahi hai sada
mein hussain hun

aisa laga raza ki shanawar se fatema
kehti hai baar baar suna
mein hussain hun

gunji bawaqt asr sada mein hussain