qaidi hun mein baba jaan

- Nadeem Sarwar (2012)


qaidi hun mein baba jaan

qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan
qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan
 
na apna wo ghar hai na apna madina
wo baahein chachaa ki tumhaara wo sinaa
bolo khudaara tum ho kahaan mein kahaan
qaidi hun mein baba jaan
 
jis din se tumse judaa ho gayi hun
dekho to baba mao kya ho gayi hun
ujda makaan hai rehti hun ab mein jahaan
qaidi hun mein baba jaan
 
kehti na thi dekho na jaao baba
taras khaao mujh par taras khaao baba
tum kya gaye ho mujh par gira aasmaan
qaidi hun mein baba jaan
 
jaise hi neze pe tum aaye baba
maine tamaache bohot khaaye baba
rukhsaar par hain abhi tak sitam ke nishaan
qaidi hun mein baba jaan
 
maanga kaneezi me baba kisi ne
phenka meri samt sadqa kisi ne
paidal chali hun kaanton ke mai darmyaan
qaidi hun mein baba jaan
 
milne ko ham se chale aawo baba
ek baar chehra dikha jaawo baba
ay pyaare baba phir ham kahaan tu kahaan
qaidi hun mein baba jaan
 
chalo shaam chalte hain rehan o sarwar
vahaan dekhna kya hai chehlum ka manzar
bibi sakina karti hai ab tak fughaan
qaidi hun mein baba jaan
 
ab shaazaadi kahaan