Ali Ali haye Ali

- Ali akbar ameen (2020)


Haye Ali Haye Ali Ya Ali Haye Ali

Gul dasta e azan say mua'zzin ne di sada 
Qayam hui namaz uthey shahe lafata 
Baad e ruku sajda e khalik Mai sir rakha 
Sajde say sir uthate he haye Ghazab hua 
Aayi nida e ghaib ke Haider hue shaheed
Gharme khuda ke saqiy e Kausar hue shaheed

Ali Ali Haye Ali Aye Mere Moula
Sajde Mai Sir Zakhmi Hua Shere khuda ka

1)
Teghe bine muljim say hai zakhmi sar e Anwar
Or khoN say namaz e ke musalla bhi hua tar
Aate hai nazar khoon mai dubey hue Haider
Masjid Mai lahu behta raha shere khuda ka

2...Teghe bine muljim jo chali farq e Ali par
Is zulm say aalam mai bapa hogaya Mehshar 
Marqad Mai larazne lagi khud ruhey payambar 
Jibril ne bhi noha padha shere khuda ka 

3...Kufey Mai khabar phaili ke Haider hui zakhmi 
Mehrab Mai damad e payamber hue zakhmi
Guriya hai falak saqiye Kausar hue zakhmi
Matam hai zamane Mai bapa shere khuda ka

4...Ab aal e Mohammad ko nahi zabt ka yara 
Bikhara hua masjid Mai hai quran ka para 
Quraan ke maathe say rawaN khuN ka hai dhara 
Shamshir say sir zakhmi hua shere khuda ka

5...Aalam Mai Numaya hai jo aasar e Qayamat 
Sadat Mai kohram hai maar e gaye Hazrat 
Mabud ke ghar Mai hui Bande ki shahadat 
Sir sajda e khalik Mai kata shere khuda ka 

6...Kufey ke yateemo ke Labo par hai ye fariyad 
Ab kon ghareebo ki karega bhala imdad
Koi bhi sahara nhi hum hogaye barbad 
Ghar sog mai duba hua shere khuda ka 

7...Hai zainabo kulsum ke chehro pa udasi 
Abbas ke Rukhsar pa hai gard e yateemi
Hasnain ki aakhon say na kyon ashk hojari 
Aalam mai hai taboot utha shere khuda ka 

8...Moula ka mere kya ho bayaN haal e shahadat 
Is haal Mai bhi karte hai qatil ki ziyafat 
Allah re ye jazba e isaaro murawwat 
Hamsar koi kya hoga bhala shere khuda ka

9....Sir pit ke jo rotey hai Zehra ke dulharey 
Aakash pa larza hai chamak te hue taare 
Yun Haider e karra suye khuld sidhare 
Mooh takti rahi aale eba shere khuda ka 

10....Mazhar ye raqam noha e gham karta rahega
Akbar bhi usey shamo sahar padhta rahega 
Her dour Mai apna ye Alam ucha rahega 
Saya hai saro par jo sada shere khuda ka