Darbar Se Ayi Hai Zehra
- Joan Rizvi (2019)
Betoon k saharay chalti hui
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Lagta hai abhi mar jayay gi
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Who jitni dair wahan thairee
Baba(pbuh) ka member takti rahe
Per yasrab ki shahzadi ko
Masnad na musalmanoon na di
She ker dil per yeh ghustakhi
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Dil rukta hai saans ukharti hai
Deewarain thaam k chalti hai
Chehray per Fatima Zehra(sa) kay
Fizza sa berh kay Zaifee hai
Laiker yeh safaide baloon ki
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Ghar atay hua Khud Zahra(sa) Ne
Umme Aiman sa farmaya
Sir choom k donoon betoon ka
Salman(as) ko roh k samjhaya
Zainab(sa) ko na batlayay koi
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Do gaam pa Baba(Pbuh) ki turbat
Darbar main Baitee ki ghurbat
Jhutlaye gaye thi Siddiqa
Hans-ti thi dekh k yeh ummat
Khud apna noha perhti hui
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Shabbar(as) ko choom k roti hai
Shabbir(as) ki gardan chomti hai
Ro ker Kulsoom(sa) o Zainab(sa) ki
Ankhoon say haath lagati hai
Shahyad dukh sham k takti hui
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Thehreer faqat tukray na hui
Tazheek hui thi lafzoon ki
Masjid main kya kuch guzri hai
Yeh bat issay pochay na koi
Ro ker kehtay thay sabsa Ali(as)
Darbar hai aye hai Zahra(sa)
Khaliq ki adalat hogi bapa
Insaf ki khatir paish e Jali(J)
Betoon ko apnay sath liya
Mehshar main aise jayay gi
Jis haal main Akbar Binte Nabi(sa)
Darbar hai aye hai Zahra(sa)