Lanat Bar Dushmane Zahra

- Meesum Abbas (2020)


Allahumma Laan Qatalata Fatema Zahra (s.a)

Lanat Bar Dushmane Nabi, Lanat Bar Dushmane Ali, Lanat Bar Dushmane Zahra!

Ya Sayyeda ...4

Laanat Bar Dushmane Zehra

1. Ay Ahle aza aao suno ghum ka ye qissa,
Jis beti ko keh-te the Nabi Umme Abiha
Ummat ne usse bad-e-Nabi khoob rulaya
Darbar me makhdooma e alam ko bulaya
Aaj talak roti hai duniya, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4

2. Kya ajr e risalat ye Muhammad (s) ko mila he
Us ghar ko jala dala, jahan deen pala he
Shehzadi pe jalta huwa darwaza gira he
Ay momino sar peeto ye gham sab se bada he
Ghurbat e Haidar ka khulaasa, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4
 
3. Socho toh Musalmano sitam aysa huwa kyun
Shehzadi ko darbaar me bulwaya gaya kyun
Siddiqa e konain ko jhutlaya gaya kyun
"Mai jhoot nahi bolti" ye kehna para kyun
Dil ye tumhara bhi kahe ga, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4

Laanat Be Dushmane Ali...4

4. Tareekh me mil ta he qayamat ka ye manzar
Jab ghusl o kafan dene lage Zahra ko Haidar
Jis waqt nazar aya unhe pehlu shikasta
Ek cheekh uthi zor se rone lage Maula,
Nauha he ye sher e khuda ka, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4

Be Fatemata...4
 
5. Is gham ke tasawwur se laraz-ta he mera dil
Jo log muslaman the sab ho gaye baatil
Naam unke tabarre me kiya kar ta hun shamil
Mohsin ke bhi qatil hein woh, Zahra ke bhi qatil
Hashr talak me toh kahunga, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4

6. Baad e paighambar e Islam raha kuch bhi nahi
Us ki taqdeer me matam ke siwa kuch bhi nahi
Ma siwa dard ke, daman me raha kuch bhi nahi
Haye kyun binte Nabi, ye sitam seh ti rahi
Jab ke darwaza gira, keel baazu me chubhi
Silsila barh ta gaya, bass gayi Karbobala
Chal gayi Shah pe churi, aa gayi sham e jafa
Laanat..... 4

7. Ek roz me Zahra ka bhara ghar huwa barbaad
Mardon me faqat zinda bache Baqar o Sajjad
Sab qaidi bane Shaam chale, maai’le faryaad
Darbar me zalim ke gayi Zainab e nashaad
Kehti rahi saaniye Zahra, haan badi mazloom he Zahra
Laanat..... 4

8. Mismaar baqayyah me huwa marqad e Zahra
Is gham me likha Mazhar o Mesum ne ye Nauha
Ab baarwey Sarkaar banayenge woh roza
Phir hoga wahan dushman e Zahra pe tabarra
Goonje faza'on me ye nauha, haan badi  mazloom he Zahra
Laanat..... 4

Qatilaan e Zahra pe laanat, laanat
Shimr o Hurmala pe laanat, laanat
Dushman e aza par laanat, laanat
Dushman e wila par laanat, laanat
Laanat bar Hinda jigar-khwaar         Beshumaar...Beshumaar
Lanat bar  Muljim e bad-kaar           Beshumaar...Beshumaar
Lanat bar Yazeed e mai-khwaar       Beshumaar...Beshumaar
Lanat bar dushman e Mukhtaar       Beshumaar...Beshumaar