Ya sayyada ya fatima

- Shadman Raza (2020)


Assalam o alaiki ya
sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

Duniya tumhari khaak e paa
ya marziya, ya fatima..

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

1. Chakki chalayi deher ki
fuqra ko nano zarr diya
khud faqa kash reh reh ke bhi
saael ke kaase bhar diya
jo kuch bhi tha chup chap wo..(2)
raahe khuda mein de diya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

2. Tazeem yu baba ne ki
umme abeeha ban gayi
is waaste ashraaf mein
tazeem tere ghar ki thi
darr par tere utre malak..(2)
khud chalke taara aagaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

3. Tum malik e lau laak ho
aur sahib e aflaak ho
tum tahira, tum marziya
tum rijz se bhi paak ho
bus ek teri dehleez par..(2)
sajde kare sab ambiya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

4. Jannat ke jo sardaar hai
wo aap ke hubdaar hai
jinka zamana muntazir
wo aapke ghumkhwaar hai
shehzadi e kaunain ki..(2)
tauseef kaise ho bhala

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

5. Ghum tujhpe hai itne pade
umme masaeb hogayi
baba ka ghum Mohsin ka ghum
dil mein liye hi mar gayi
teri shahadat ka sabab..(2)
darbaar jana hogaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

6. Baad e Mohammad aap par
toote masaeb kis qadar
pehlu shikasta kar gaye
jo aag laaye tere ghar
ummat ne baba ko tere..(2)
ajr e risalat yu diya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

7. Subbat alaiyya baba jaa'n
kehti rahi jab fatima
likhu bhala mai shadmaa'n
kis tarha se ye marsiya..(2)
jo zulm baqer ho gaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

Assalam o alaiki ya
sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima
Haye Zahra....